अक्षर
कभी क्षर नहीं होता
इसीलिए तो वह
'अक्षर' है
क्षर होता है तन
क्षर होता है मन
क्षर होता है धन
क्षर होता है अज्ञान
क्षर होता है
मान और सम्मान
परंतु
नहीं होता है कभी क्षर
'अक्षर'
इसलिए अक्षरों को जानो
अक्षरों को पहचानो
अक्षरों को स्पर्श करो
अक्षरों को पढ़ो
अक्षरों को लिखो
अक्षरों की आरसी में
अपना चेहरा देखो
इन्हीं में छिपा है
तुम्हारा नाम
तुम्हारा ग्राम
और तुम्हारा काम
सृष्टि जब
समाप्त हो जाएगी
तब भी रह जाएगा
'अक्षर'
क्यों कि 'अक्षर' तो
ब्रह्म है
और भला
ब्रह्म भी
कहीं मरता है?
आओ हम बाँचें!
ब्रह्म के स्वरूप को
सीखकर अक्षर
akshar
kabhi kshar nahin hota
isiliye to wo
akshar hai
kshar hota hai tan
kshar hota hai man
kshar hota hai dhan
kshar hota hai agyan
kshar hota hai
maan aur samman
parantu
nahin hota hai kabhi kshar
akshar
isliye akshron ko jano
akshron ko pahchano
akshron ko sparsh karo
akshron ko paDho
akshron ko likho
akshron ki aarsi mein
apna chehra dekho
inhin mein chhipa hai
tumhara naam
tumhara gram
aur tumhara kaam
srishti jab
samapt ho jayegi
tab bhi rah jayega
akshar
kyon ki akshar to
brahm hai
aur bhala
brahm bhi
kahin marta hai?
aao hum banchen!
brahm ke svarup ko
sikhkar akshar
akshar
kabhi kshar nahin hota
isiliye to wo
akshar hai
kshar hota hai tan
kshar hota hai man
kshar hota hai dhan
kshar hota hai agyan
kshar hota hai
maan aur samman
parantu
nahin hota hai kabhi kshar
akshar
isliye akshron ko jano
akshron ko pahchano
akshron ko sparsh karo
akshron ko paDho
akshron ko likho
akshron ki aarsi mein
apna chehra dekho
inhin mein chhipa hai
tumhara naam
tumhara gram
aur tumhara kaam
srishti jab
samapt ho jayegi
tab bhi rah jayega
akshar
kyon ki akshar to
brahm hai
aur bhala
brahm bhi
kahin marta hai?
aao hum banchen!
brahm ke svarup ko
sikhkar akshar
स्रोत :
पुस्तक : इतना भी आसान कहाँ है : गीत-नवगीत (पृष्ठ 132)
रचनाकार : जगदीश व्योम
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.