याद करो
वो बचपन―
चशमुल्ली, भोंदू, डरपोक...
याद करो
वो सुबह और वो रात―
जब झड़े बालों वाले, मरियल बीमार कुत्ते सरीखा
बार-बार दुत्कारा उन्होंने तुम्हें अपनी ज़िंदगी की चौखट से
याद करो
वो दिन―
जब आत्महत्या के मुहाने पर खड़े तुम
अपने फेफड़ों में जमे दुःख के बर्फ़ को
पिघलाने के लिए फूँक रहे थे सस्ती सिगरेट
याद करो
वो सच―
जो एक उदास-जुआरी ने बताया था तुम्हें
कि जिसके दिल में गहराई होती है
इस धरती पर बेहद उदासी ही उसका नसीब है
याद करो
वो झूठ―
जो किसी के आहत भर से चटक गया था
कि इस ग्रह की माटी में नहीं खिलता स्नेह का फूल
याद करो
वो पल―
पहली बार हुआ था एहसास तुम्हें
कि ख़ुसरो दरिया प्रेम का, उल्टी वा की धार...
...और जो कुछ भी कर सकते हो याद, करो।
परंतु अंत में करना याद
वो उम्मीद―
कि एक सुबह तुम सोकर उठोगे
और उसका चेहरा होगा सामने तुम्हारे
जिसने तुम्हारे किराया ना भरने पर भी
नहीं कराया ख़ाली तुमसे अपने दिल का कमरा
कि मेरे दोस्त!
ज़िंदगी की गाड़ी
उम्मीद के डीज़ल से चलती है।
yaad karo
wo bachpan―
chashmulli, bhondu, Darpok
yaad karo
wo subah aur wo raat―
jab jhaDe balon wale, mariyal bimar kutte sarikha
bar bar dutkara unhonne tumhein apni zindagi ki chaukhat se
yaad karo
wo din―
jab atmahatya ke muhane par khaDe tum
apne phephDon mein jame duःkh ke barf ko
pighlane ke liye phoonk rahe the sasti cigarette
yaad karo
wo sach―
jo ek udas juari ne bataya tha tumhein
ki jiske dil mein gahrai hoti hai
is dharti par behad udasi hi uska nasib hai
yaad karo
wo jhooth―
jo kisi ke aahat bhar se chatak gaya tha
ki is grah ki mati mein nahin khilta sneh ka phool
yaad karo
wo pal―
pahli bar hua tha ehsas tumhein
ki khusro dariya prem ka, ulti wa ki dhaar
aur jo kuch bhi kar sakte ho yaad, karo
parantu ant mein karna yaad
wo ummid―
ki ek subah tum sokar uthoge
aur uska chehra hoga samne tumhare
jisne tumhare kiraya na bharne par bhi
nahin karaya khali tumse apne dil ka kamra
ki mere dost!
zindagi ki gaDi
ummid ke diesel se chalti hai
yaad karo
wo bachpan―
chashmulli, bhondu, Darpok
yaad karo
wo subah aur wo raat―
jab jhaDe balon wale, mariyal bimar kutte sarikha
bar bar dutkara unhonne tumhein apni zindagi ki chaukhat se
yaad karo
wo din―
jab atmahatya ke muhane par khaDe tum
apne phephDon mein jame duःkh ke barf ko
pighlane ke liye phoonk rahe the sasti cigarette
yaad karo
wo sach―
jo ek udas juari ne bataya tha tumhein
ki jiske dil mein gahrai hoti hai
is dharti par behad udasi hi uska nasib hai
yaad karo
wo jhooth―
jo kisi ke aahat bhar se chatak gaya tha
ki is grah ki mati mein nahin khilta sneh ka phool
yaad karo
wo pal―
pahli bar hua tha ehsas tumhein
ki khusro dariya prem ka, ulti wa ki dhaar
aur jo kuch bhi kar sakte ho yaad, karo
parantu ant mein karna yaad
wo ummid―
ki ek subah tum sokar uthoge
aur uska chehra hoga samne tumhare
jisne tumhare kiraya na bharne par bhi
nahin karaya khali tumse apne dil ka kamra
ki mere dost!
zindagi ki gaDi
ummid ke diesel se chalti hai
स्रोत :
रचनाकार : आसित आदित्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.