भारी है जीवन
झूठे बोझों से
जो नहीं छूते हैं
ज़रा भी जीवन।
पीठ पर लादे वह
जब थक जाता है
हाथों को पाँवों को
छोड़ बैठ जाता है।
बिस्तर को फेंक
बीच प्लेटफ़ॉर्म
मुँह बेरुखी से
घूमता है वहाँ।
किंतु यह जीवन है
घड़ी की सुई भी
कोल्हू का बैल
प्रतिदिन चलता है।
भागता शौक़ से
स्टेशन पर कुली
ढोता है बोझा
ढोता है शक्ति-भर
पसीना पोंछता
कोई भाव भीतरी
मुख पर न लाता।
गंदा नहीं जीवन
सुंदर है पहलू
पुर्ज़ा एक बनता
भारी मशीन का।
दौड़ का है वक़्त
भूमि में तीव्रता
देशों में तनाव
नर में खिंचाव है।
रेल के डिब्बे में
छोटे में छोटा
बड़े में बड़ा है
मानवों में भेद।
एक कश खींचता है
सिगरेट दाब कर
छोटे से कहता :
‘गेट डाउन डैम’।
भिड़े हैं मुसाफ़िर
जमघट इकट्ठा है
प्लेटफ़ार्म भरा
दौड़ का है वक़्त।
चला जा रहा
हिंदी साहित्य
रेल में बैठ
दौड़ती कहानी
क्वाँरियों-सी
घिसटे लेख भी
पंगु-से, झोली फटी, टुकड़े बिखर रहे।
आलोचनाएँ सो रहीं
बेफ़िकर
परवाह नहीं
है सीट तो रिज़र्व।
दौड़ते हैं क्या
कभी चीट भी
बरसाती वक़्त है
मिश्री का कूज़ा
पास में पड़ा है
छूते हैं कूज़ा
हटते हैं छूते
होते हैं ख़ुश फिर
घूम-घूम दाएँ
अगल-बग़ल लिपटे
मिश्री के
कूज़े पर
कवि-जन प्यारे।
bhari hai jiwan
jhuthe bojhon se
jo nahin chhute hain
zara bhi jiwan
peeth par lade wo
jab thak jata hai
hathon ko panwon ko
chhoD baith jata hai
bistar ko phenk
beech pletfaurm
munh berukhi se
ghumta hai wahan
kintu ye jiwan hai
ghaDi ki sui bhi
kolhu ka bail
pratidin chalta hai
bhagta shauq se
station par kuli
Dhota hai bojha
Dhota hai shakti bhar
pasina ponchhta
koi bhaw bhitari
mukh par na lata
ganda nahin jiwan
sundar hai pahlu
purza ek banta
bhari machine ka
dauD ka hai waqt
bhumi mein tiwrata
deshon mein tanaw
nar mein khinchaw hai
rail ke Dibbe mein
chhote mein chhota
baDe mein baDa hai
manwon mein bhed
ek kash khinchta hai
cigarette dab kar
chhote se kahta ha
‘gate down Daim’
bhiDe hain musafi
jamghat ikattha hai
pletfarm bhara
dauD ka hai waqt
chala ja raha
hindi sahity
rail mein baith
dauDti kahani
kwanriyon si
ghiste lekh bhi
pangu se, jholi phati, tukDe bikhar rahe
alochnayen so rahin
befikar
parwah nahin
hai seat to reserw
dauDte hain kya
kabhi cheet bhi
barsati waqt hai
mishri ka kuza
pas mein paDa hai
chhute hain kuza
hatte hain chhute
hote hain khush phir
ghoom ghoom dayen
agal baghal lipte
mishri ke
kuze par
kawi jan pyare
bhari hai jiwan
jhuthe bojhon se
jo nahin chhute hain
zara bhi jiwan
peeth par lade wo
jab thak jata hai
hathon ko panwon ko
chhoD baith jata hai
bistar ko phenk
beech pletfaurm
munh berukhi se
ghumta hai wahan
kintu ye jiwan hai
ghaDi ki sui bhi
kolhu ka bail
pratidin chalta hai
bhagta shauq se
station par kuli
Dhota hai bojha
Dhota hai shakti bhar
pasina ponchhta
koi bhaw bhitari
mukh par na lata
ganda nahin jiwan
sundar hai pahlu
purza ek banta
bhari machine ka
dauD ka hai waqt
bhumi mein tiwrata
deshon mein tanaw
nar mein khinchaw hai
rail ke Dibbe mein
chhote mein chhota
baDe mein baDa hai
manwon mein bhed
ek kash khinchta hai
cigarette dab kar
chhote se kahta ha
‘gate down Daim’
bhiDe hain musafi
jamghat ikattha hai
pletfarm bhara
dauD ka hai waqt
chala ja raha
hindi sahity
rail mein baith
dauDti kahani
kwanriyon si
ghiste lekh bhi
pangu se, jholi phati, tukDe bikhar rahe
alochnayen so rahin
befikar
parwah nahin
hai seat to reserw
dauDte hain kya
kabhi cheet bhi
barsati waqt hai
mishri ka kuza
pas mein paDa hai
chhute hain kuza
hatte hain chhute
hote hain khush phir
ghoom ghoom dayen
agal baghal lipte
mishri ke
kuze par
kawi jan pyare
स्रोत :
पुस्तक : दूसरा सप्तक (पृष्ठ 53)
संपादक : अज्ञेय
रचनाकार : शकुंत माथुर
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.