तुम एक पिछड़े हुए वक्ता हो।
तुम एक ऐसे विरोध की भाषा में बोलते हो
जैसे राजाओं का विरोध कर रहे हो!
एक ऐसे समय की भाषा
जब संसद का जन्म नहीं हुआ था!
तुम क्या सोचते हो
संसद ने विरोध की भाषा और सामग्री को
वैसा ही रहने दिया
जैसी वह राजाओं के ज़माने में थी?
यह जो आदमी
मेज़ की दूसरी ओर सुन रहा है तुम्हें
कितने क़रीब से और ध्यान से
यह राजा नहीं है ज़िलाधीश है!
यह ज़िलाधीश है
जो राजाओं से आम तौर पर
बहुत ज़्यादा शिक्षित है
राजाओं से ज़्यादा तत्पर और संलग्न!
यह दूर किसी क़िले में—ऐश्वर्य की निर्जनता में नहीं
हमारी गलियों में पैदा हुआ एक लड़का है।
यह हमारी असफलताओं और ग़लतियों के
बीच पला है
यह जानता है हमारे साहस और लालच को
राजाओं से बहुत ज़्यादा धैर्य और चिंता है इसके पास!
यह ज़्यादा भ्रम पैदा कर सकता है
यह ज़्यादा अच्छी तरह हमें आज़ादी से
दूर रख सकता है।
कड़ी
कड़ी निगरानी चाहिए
सरकार के इस बेहतरीन दिमाग़ पर!
कभी-कभी तो इसे सीखना भी पड़ सकता है!
tum ek pichhDe hue wakta ho
tum ek aise wirodh ki bhasha mein bolte ho
jaise rajaon ka wirodh kar rahe ho!
ek aise samay ki bhasha
jab sansad ka janm nahin hua tha!
tum kya sochte ho
sansad ne wirodh ki bhasha aur samagri ko
waisa hi rahne diya
jaisi wo rajaon ke zamane mein thee?
ye jo adami
mez ki dusri or sun raha hai tumhein
kitne qarib se aur dhyan se
ye raja nahin hai ziladhish hai!
ye ziladhish hai
jo rajaon se aam taur par
bahut zyada shikshait hai
rajaon se zyada tatpar aur sanlagn!
ye door kisi qile mein—aishwary ki nirjanta mein nahin
hamari galiyon mein paida hua ek laDka hai
ye hamari asaphaltaon aur ghalatiyon ke
beech pala hai
ye janta hai hamare sahas aur lalach ko
rajaon se bahut zyada dhairya aur chinta hai iske pas!
ye zyada bhram paida kar sakta hai
ye zyada achchhi tarah hamein azadi se
door rakh sakta hai
kaDi
kaDi nigrani chahiye
sarkar ke is behtarin dimagh par!
kabhi kabhi to ise sikhna bhi paD sakta hai!
tum ek pichhDe hue wakta ho
tum ek aise wirodh ki bhasha mein bolte ho
jaise rajaon ka wirodh kar rahe ho!
ek aise samay ki bhasha
jab sansad ka janm nahin hua tha!
tum kya sochte ho
sansad ne wirodh ki bhasha aur samagri ko
waisa hi rahne diya
jaisi wo rajaon ke zamane mein thee?
ye jo adami
mez ki dusri or sun raha hai tumhein
kitne qarib se aur dhyan se
ye raja nahin hai ziladhish hai!
ye ziladhish hai
jo rajaon se aam taur par
bahut zyada shikshait hai
rajaon se zyada tatpar aur sanlagn!
ye door kisi qile mein—aishwary ki nirjanta mein nahin
hamari galiyon mein paida hua ek laDka hai
ye hamari asaphaltaon aur ghalatiyon ke
beech pala hai
ye janta hai hamare sahas aur lalach ko
rajaon se bahut zyada dhairya aur chinta hai iske pas!
ye zyada bhram paida kar sakta hai
ye zyada achchhi tarah hamein azadi se
door rakh sakta hai
kaDi
kaDi nigrani chahiye
sarkar ke is behtarin dimagh par!
kabhi kabhi to ise sikhna bhi paD sakta hai!
स्रोत :
पुस्तक : दुनिया रोज़ बनती है (पृष्ठ 47)
रचनाकार : आलोकधन्वा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.