बेशक यह किराये का ही है
पर है अभी मेरा!
मेरे कुछ पुराने दिन जो सख़्त थे
और मेरे उड़े हुए चेहरे पर हँसते थे
तब इस कमरे ने मुझसे बातें की थीं
मेरे जलते हुए तलवे सहलाए थे
शुरू के दिन थे—
इस पर बहुत प्यार आया था
छीजते हुए आत्मविश्वास और शाप से भरे हुए दिनों में
पूरे विश्वास से इसमें लौटता था मैं!
सर्दियों की एक कठिन रात में
एक बार बस अड्डे पर उतरा था
तो इस पराए शहर में मेरे पास एक कमरा था
इस विश्वास ने कितना बल दिया था!
ख़राब दिनों में उम्मीद से भरे होने का साक्षी
सिर्फ़ यह कमरा है
सपनों से भरे एक आदमी को
धीरे-धीरे ख़ाली होते देखा है इसने
कुछ लिखते देर-देर रात तक
और सुबह उसे चिंदियों में बदलते हुए
धीमी गति से ज़िंदगी में रखी चीज़ों को
उदास और बेरंग होते देखा है
...और कविता की नब्ज़ को
डूबते हुए!
अब तो एक पराए शहर में
एक अनजान आदमी के लिए
हौसला दिलाने वाले हाथ भी नहीं दिखते
शुक्र है—
इस कमरे में सुबह-सुबह
अब हरि प्रसाद चौरसिया की बाँसुरी गूँजती है
और दीवार पर लगी तस्वीर में
वह प्यारा बच्चा शाम को कमरे में लौटने पर मुस्कुराता है!
beshak ye kiraye ka hi hai
par hai abhi mera!
mere kuch purane din jo sakht the
aur mere uDe hue chehre par hanste the
tab is kamre ne mujhse baten ki theen
mere jalte hue talwe sahlaye the
shuru ke din the—
is par bahut pyar aaya tha
chhijte hue atmawishwas aur shap se bhare hue dinon mein
pure wishwas se ismen lautta tha main!
sardiyon ki ek kathin raat mein
ek bar bus aDDe par utra tha
to is paraye shahr mein mere pas ek kamra tha
is wishwas ne kitna bal diya tha!
kharab dinon mein ummid se bhare hone ka sakshi
sirf ye kamra hai
sapnon se bhare ek adami ko
dhire dhire khali hote dekha hai isne
kuch likhte der der raat tak
aur subah use chindiyon mein badalte hue
dhimi gati se zindagi mein rakhi chizon ko
udas aur berang hote dekha hai
aur kawita ki nabz ko
Dubte hue!
ab to ek paraye shahr mein
ek anjan adami ke liye
hausla dilane wale hath bhi nahin dikhte
shukr hai—
is kamre mein subah subah
ab hari parsad chaurasiya ki bansuri gunjti hai
aur diwar par lagi taswir mein
wo pyara bachcha sham ko kamre mein lautne par muskurata hai!
beshak ye kiraye ka hi hai
par hai abhi mera!
mere kuch purane din jo sakht the
aur mere uDe hue chehre par hanste the
tab is kamre ne mujhse baten ki theen
mere jalte hue talwe sahlaye the
shuru ke din the—
is par bahut pyar aaya tha
chhijte hue atmawishwas aur shap se bhare hue dinon mein
pure wishwas se ismen lautta tha main!
sardiyon ki ek kathin raat mein
ek bar bus aDDe par utra tha
to is paraye shahr mein mere pas ek kamra tha
is wishwas ne kitna bal diya tha!
kharab dinon mein ummid se bhare hone ka sakshi
sirf ye kamra hai
sapnon se bhare ek adami ko
dhire dhire khali hote dekha hai isne
kuch likhte der der raat tak
aur subah use chindiyon mein badalte hue
dhimi gati se zindagi mein rakhi chizon ko
udas aur berang hote dekha hai
aur kawita ki nabz ko
Dubte hue!
ab to ek paraye shahr mein
ek anjan adami ke liye
hausla dilane wale hath bhi nahin dikhte
shukr hai—
is kamre mein subah subah
ab hari parsad chaurasiya ki bansuri gunjti hai
aur diwar par lagi taswir mein
wo pyara bachcha sham ko kamre mein lautne par muskurata hai!
स्रोत :
रचनाकार : विनय सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.