मैं इस घर से प्रेम करता हूँ
इस टूटे-फूटे और पुराने घर से
जिसकी मिट्टी सुदूर मैदानों से खोदकर
लाई गई थी बैलगाड़ियों में
कभी पिता के ज़माने में
प्रेम करता हूँ मैं इस घर से
जिसके आँगन में खड़े हैं
गुलमोहर के सघन छायादार पेड़
जो अमलतास, नीम और गंगाइमली के पेड़ों से घिरा है
जैसे हरियाली के समुद्र में ऊभ-चूभ कोई द्वीप
यह घर उन सैकड़ों घरों की तरह है
एक दिन अचानक जिनके काम करने वाले
शाम को घर नहीं लौटते
फिर जहाँ दिनों तक चूल्हा नहीं जलता
उन सैकड़ों घरों की तरह
जिनकी आवाज़ें खो गई हैं
इतनी शांति है इस घर में
जितनी क़ब्र पर चढ़े एक फूल के क़रीब होती है
जो टूटती है कभी-कभी
किसी चिड़िया की आवाज़ से।
main is ghar se prem karta hoon
is tute phute aur purane ghar se
jiski mitti sudur maidanon se khodkar
lai gai thi bailgaDiyon mein
kabhi pita ke zamane mein
prem karta hoon main is ghar se
jiske angan mein khaDe hain
gulmohar ke saghan chhayadar peD
jo amaltas, neem aur gangaimli ke peDon se ghira hai
jaise hariyali ke samudr mein ubh choobh koi dweep
ye ghar un saikDon gharon ki tarah hai
ek din achanak jinke kaam karne wale
sham ko ghar nahin lautte
phir jahan dinon tak chulha nahin jalta
un saikDon gharon ki tarah
jinki awazen kho gai hain
itni shanti hai is ghar mein
jitni qabr par chaDhe ek phool ke qarib hoti hai
jo tutti hai kabhi kabhi
kisi chiDiya ki awaz se
main is ghar se prem karta hoon
is tute phute aur purane ghar se
jiski mitti sudur maidanon se khodkar
lai gai thi bailgaDiyon mein
kabhi pita ke zamane mein
prem karta hoon main is ghar se
jiske angan mein khaDe hain
gulmohar ke saghan chhayadar peD
jo amaltas, neem aur gangaimli ke peDon se ghira hai
jaise hariyali ke samudr mein ubh choobh koi dweep
ye ghar un saikDon gharon ki tarah hai
ek din achanak jinke kaam karne wale
sham ko ghar nahin lautte
phir jahan dinon tak chulha nahin jalta
un saikDon gharon ki tarah
jinki awazen kho gai hain
itni shanti hai is ghar mein
jitni qabr par chaDhe ek phool ke qarib hoti hai
jo tutti hai kabhi kabhi
kisi chiDiya ki awaz se
स्रोत :
पुस्तक : मिट्टी से कहूँगा धन्यवाद (पृष्ठ 104)
रचनाकार : एकांत श्रीवास्तव
प्रकाशन : प्रकाशन संस्थान
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.