उन्होंने वो घर कभी नहीं छोड़ा है
वो वहीं हैं
उनकी यादों के मक़बरे में
एक-एक लम्हा जैसे संभाल के रखा है
क़रीने से
ज़िंदगी के उन अवशेषों के साथ
भूले हुए अवसादों को जैसे
बंद संदूक में लाल डायरी के पन्नों के माफ़िक़
भूत के गर्भ से पैदा होते उस स्वप्न के साथ
ज़िंदा रखा है किसी कोने में
उस घर में अज़ीबो-ग़रीब चीज़ें सँभाली हुई हैं
कैसे माँ का वो सलेटी पर्स
दादी के बालों का गुच्छा
वो हल्दी लगी साड़ी
एक टूटा हुआ सैंडल
ना लिखे अधूरे ख़त
ये महज़ चीज़ें नहीं हैं
ये भाव हैं
शायद मनोविकार भी
ये सड़ गईं हैं
इन्हें जला देना चाहिए
अग्नि में धू-धू कर इन्हें
भूत की क़ैद से आज़ाद कर देना ही उचित है
जितना ये अवशेष जलेंगे
उतनी ही उनके धुएँ की परछाई इन्हें दूर ले जाएगी
यही इनका प्रारब्ध है
unhonne wo ghar kabhi nahin chhoDa hai
wo vahin hain
unki yadon ke maqbare mein
ek ek lamha jaise sambhal ke rakha hai
qarine se
zindagi ke un avsheshon ke saath
bhule hue avsadon ko jaise
band sanduk mein laal Dayri ke pannon ke mafiq
bhoot ke garbh se paida hote us svapn ke saath
zinda rakha hai kisi kone mein
us ghar mein azibo gharib chizen sanbhali hui hain
kaise maan ka wo saleti pars
dadi ke balon ka guchchha
wo haldi lagi saDi
ek tuta hua sainDal
na likhe adhure khat
ye mahz chizen nahin hain
ye bhaav hain
shayad manovikar bhi
ye saD gain hain
inhen jala dena chahiye
agni mein dhu dhu kar inhen
bhoot ki qaid se azad kar dena hi uchit hai
jitna ye avshesh jalenge
utni hi unke dhuen ki parchhai inhen door le jayegi
yahi inka prarabdh hai
unhonne wo ghar kabhi nahin chhoDa hai
wo vahin hain
unki yadon ke maqbare mein
ek ek lamha jaise sambhal ke rakha hai
qarine se
zindagi ke un avsheshon ke saath
bhule hue avsadon ko jaise
band sanduk mein laal Dayri ke pannon ke mafiq
bhoot ke garbh se paida hote us svapn ke saath
zinda rakha hai kisi kone mein
us ghar mein azibo gharib chizen sanbhali hui hain
kaise maan ka wo saleti pars
dadi ke balon ka guchchha
wo haldi lagi saDi
ek tuta hua sainDal
na likhe adhure khat
ye mahz chizen nahin hain
ye bhaav hain
shayad manovikar bhi
ye saD gain hain
inhen jala dena chahiye
agni mein dhu dhu kar inhen
bhoot ki qaid se azad kar dena hi uchit hai
jitna ye avshesh jalenge
utni hi unke dhuen ki parchhai inhen door le jayegi
yahi inka prarabdh hai
स्रोत :
रचनाकार : द्वारिका उनियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.