यदि बच सका
तो मैं बचा रहना चाहूँगा!
सूख कर ठूँठ हो चुके तनों में एक हरी उम्मीद की तरह
किसी तानाशाह के हृदय में बची मामूली करुणा की तरह
थनों के निचोड़ लिए जाने के बाद बछड़े के लिए बचे पाव भर दूध की तरह
हज़ार बेमुरव्वत विफलताओं के बाद भी बचे एक अंतिम प्रयास की तरह
यह जानते हुए
कि अब बचने के कुछ मायने शेष नहीं हैं...
मैं बचा रहना चाहता हूँ तुम्हारी गंध की स्मृति की तरह!
क्योंकि बचना हमेशा ख़त्म होने से बेहतर होता है…
मैं बचा रहना चाहूँगा एक बेहतर विकल्प की तरह।
yadi bach saka
to main bacha rahna chahunga!
sookh kar thoonth ho chuke tanon mein ek hari ummid ki tarah
kisi tanashah ke hirdai mein bachi mamuli karuna ki tarah
thanon ke nichoD liye jane ke baad bachhDe ke liye bache pavbhar doodh ki tarah
hazar bemuravvat viphaltaon ke baad bhi bache ek antim prayas ki tarah
ye jante hue
ki ab bachne ke kuch mayne shesh nahin hain. . .
main bacha rahna chahta hoon tumhari gandh ki smriti ki tarah!
kyonki bachna hamesha khatm hone se behtar hota hai…
main bacha rahna chahunga ek behtar vikalp ki tarah.

स्रोत :
रचनाकार : गौरव सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.