लिख सकती हूँ अपनी कविता में
वे सारे दर्द जो तुमने दिए थे
गुलाब के फूल से लेकर उसके काँटों तक का
बखान कर सकती हूँ मैं
प्रेम में ही नहीं
तकलीफ़ में भी कविताएँ साथ देती हैं
गर पूछो मुझसे सबसे महफ़ूज़ जगह
तो कमरे का अँधेरा होगा वह
न होगी रोशनी, न डर होगा उसे खोने का
जैसे सबसे माक़ूल होता है एकतरफ़ा प्रेम
कि प्रेम की हिफ़ाज़त ख़ुद ख़ुदा ने भी नहीं की
मैं तो शहज़ादी ठहरी एक ग़रीब बाप की
हमारे बीच केवल दुआ-सलाम भर के रिश्ते नहीं थे
ओ परवरदिगार, मेरे मौला
इल्तिज़ा है मेरी
मेरे महबूब को उसकी मुहब्बत क़ुबूल हो
पर याद रहे ओ जाँ-निसार
आजिज़ी में भी दरख़्त अपने पत्ते बदलते हैं जड़ें नहीं।
likh sakti hoon apni kawita mein
we sare dard jo tumne diye the
gulab ke phool se lekar uske kanton tak ka
bakhan kar sakti hoon main
prem mein hi nahin
taklif mein bhi kawitayen sath deti hain
gar puchho mujhse sabse mahfuz jagah
to kamre ka andhera hoga wo
na hogi roshni, na Dar hoga use khone ka
jaise sabse maqul hota hai ekatrafa prem
ki prem ki hifazat khu khuda ne bhi nahin ki
main to shahzadi thahri ek gharib bap ki
hamare beech kewal dua salam bhar ke rishte nahin the
o parwardigar, mere maula
iltiza hai meri
mere mahbub ko uski muhabbat qubul ho
par yaad rahe o jaan nisar
ajizi mein bhi darakht apne patte badalte hain jaDen nahin

स्रोत :
रचनाकार : दिव्या श्री
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.