कौन-सी चीज़ें बिकती हैं
इन दिनों
‘बहुत-सी’ दुकानदार ने कहा
जैसे गेहूँ का आटा
जैसे तेल, नहाने का सुगंधित साबुन
त्वचा की चिकनाई के लिए क्रीम
दिल को मज़बूत करने वाली दवाइयाँ
वह उदास हो गया
‘नहीं, नहीं, यह सब नहीं’
दुकानदार ने अपने सामान की सूची देखी
गंभीर होकर उसने कहा
पिछले दिनों यहाँ हत्यारा आया था
उसने एक व्याखान दिया था
‘हत्या का अध्यात्म’ के संबंध में
उसके कैसेट इन दिनों ख़ूब बिके हैं
इसे ज़रा विस्तार से कहो
आगंतुक ने कहा
हम अपने व्यापार के संबंध में सोचते हैं
बिकने वाले माल के संबंध में
उसकी शुद्धता के लिए
विज्ञापन और प्रचार करते हैं
उसे लोकप्रिय बनाते हैं
दुकानदार ने कहा
हमारे यहाँ अहिंसा भी बिकती है
आगंतुक ने पूछा ‘कौन-सी अहिंसा’
वह जो घोड़े पर बैठ कर आती है
जिसे सिपाही
गाली-गलोच की भाषा की तरह काम में लेते हैं
जो विश्व भर के अपाहिजों को
नींद की गोलियों की तरह दी जाती है
आगंतुक और दुकानदार के बीच
बहुत-सा लेन-देन हुआ
काले और गोरे व्यापारियों ने मिल कर
आचरण संहिता बनाई
चीज़ें बेचने के लिए
सांस्कृतिक समझौते हुए
kaun si chizen bikti hain
in dinon
‘bahut see’ dukandar ne kaha
jaise gehun ka aata
jaise tel, nahane ka sugandhit sabun
twacha ki chiknai ke liye kreem
dil ko mazbut karne wali dawaiyan
wo udas ho gaya
‘nahin, nahin, ye sab nahin’
dukandar ne apne saman ki suchi dekhi
gambhir hokar usne kaha
pichhle dinon yahan hatyara aaya tha
usne ek wyakhan diya tha
‘hattya ka adhyatm’ ke sambandh mein
uske cassette in dinon khoob bike hain
ise zara wistar se kaho
agantuk ne kaha
hum apne wyapar ke sambandh mein sochte hain
bikne wale mal ke sambandh mein
uski shuddhata ke liye
wigyapan aur parchar karte hain
use lokapriy banate hain
dukandar ne kaha
hamare yahan ahinsa bhi bikti hai
agantuk ne puchha ‘kaun si ahinsa’
wo jo ghoDe par baith kar aati hai
jise sipahi
gali galoch ki bhasha ki tarah kaam mein lete hain
jo wishw bhar ke apahijon ko
neend ki goliyon ki tarah di jati hai
agantuk aur dukandar ke beech
bahut sa len den hua
kale aur gore wyapariyon ne mil kar
acharn sanhita banai
chizen bechne ke liye
sanskritik samjhaute hue
kaun si chizen bikti hain
in dinon
‘bahut see’ dukandar ne kaha
jaise gehun ka aata
jaise tel, nahane ka sugandhit sabun
twacha ki chiknai ke liye kreem
dil ko mazbut karne wali dawaiyan
wo udas ho gaya
‘nahin, nahin, ye sab nahin’
dukandar ne apne saman ki suchi dekhi
gambhir hokar usne kaha
pichhle dinon yahan hatyara aaya tha
usne ek wyakhan diya tha
‘hattya ka adhyatm’ ke sambandh mein
uske cassette in dinon khoob bike hain
ise zara wistar se kaho
agantuk ne kaha
hum apne wyapar ke sambandh mein sochte hain
bikne wale mal ke sambandh mein
uski shuddhata ke liye
wigyapan aur parchar karte hain
use lokapriy banate hain
dukandar ne kaha
hamare yahan ahinsa bhi bikti hai
agantuk ne puchha ‘kaun si ahinsa’
wo jo ghoDe par baith kar aati hai
jise sipahi
gali galoch ki bhasha ki tarah kaam mein lete hain
jo wishw bhar ke apahijon ko
neend ki goliyon ki tarah di jati hai
agantuk aur dukandar ke beech
bahut sa len den hua
kale aur gore wyapariyon ne mil kar
acharn sanhita banai
chizen bechne ke liye
sanskritik samjhaute hue
स्रोत :
रचनाकार : नंद चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए अनुराग चतुर्वेदी द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.