एक व्यक्ति जिसकी उपस्थिति चार मनुष्यों के समान
गर वह बोले तो भूत, भविष्य, वर्तमान
उसकी वाचा के चौखट पर फेरी लगाते
गर वह चले तो डोले गृह के छोटे-बड़े उपग्रह
गर शांत रहे तो लगे सूर्योदय की बेला
टिमटिमाने लगते अपने-अपने आकाश में तारे
कभी लगे उसका जीवन मूर्च्छा में बीत रहा
कभी जीवन-व्यापार के बाद तट पर दिखती
निर्लिप्त बँधी उसकी नाव
कभी इतना उत्साह की जीत ले सारा संसार तो कभी नहीं
दिखता उसकी डाल से जुड़ा कामना का एक भी पात
कभी मन उखड़ा हो उसका तो
भोजन की थाल में पंच पकवान भी पानी भरे
मन सधा तो दाल रोटी में मिले स्वर्गिक अनुभूति
ऐसे व्यक्ति के कहीं जाने से समूह से बिछड़ने-सा बिछोह
छीन ली गई हो जैसे बचे लोगों की वास्तव से वास्तविकता
जैसे थके-माँदे लौटे हो युद्ध से सैनिक
जैसे सोख लिया गया हो उनकी हड्डियों से कैल्शियम
एक व्यक्ति जिसके इर्द-गिर्द दोलायमान हो समय
उसके जाने के बाद समय की भी थम जाए श्वास
ek wekti jiski upasthiti chaar manushyon ke saman
gar wo bole to bhoot, bhawishya, wartaman
uski wacha ke chaukhat par pheri lagate
gar wo chale to Dole grih ke chhote baDe upgrah
gar shant rahe to lage suryoday ki bela
timtimane lagte apne apne akash mein tare
kabhi lage uska jiwan murchchha mein beet raha
kabhi jiwan wyapar ke baad tat par dikhti
nirlipt bandhi uski naw
kabhi itna utsah ki jeet le sara sansar to kabhi nahin
dikhta uski Dal se juDa kamna ka ek bhi pat
kabhi man ukhDa ho uska to
bhojan ki thaal mein panch pakwan bhi pani bhare
man sadha to dal roti mein mile swargik anubhuti
aise wekti ke kahin jane se samuh se bichhaDne sa bichhoh
chheen li gai ho jaise bache logon ki wastaw se wastawikta
jaise thake mande laute ho yudh se sainik
jaise sokh liya gaya ho unki haDDiyon se calcium
ek wekti jiske ird gird dolayaman ho samay
uske jane ke baad samay ki bhi tham jaye shwas

स्रोत :
रचनाकार : विशाखा मुलमुले
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.