जब वे बुलबुल थीं उन्होंने खाना बनाया
फिर हिरणी होकर
फिर फूलों की डाली होकर
जब नन्ही दूब भी झूम रही थी हवाओं के साथ
जब सब तरफ़ फैली हुई थी कुनकुनी धूप
उन्होंने अपने सपनों को गूँधा
हृदयाकाश के तारे तोड़कर डाले
भीतर की कलियों का रस मिलाया
लेकिन आख़िर में उन्हें सुनाई दी थाली फेंकने की आवाज़
आपने उन्हें सुंदर कहा तो उन्होंने खाना बनाया
और डायन कहा तब भी
उन्होंने बच्चे को गर्भ में रखकर खाना बनाया
फिर बच्चे को गोद में लेकर
उन्होंने अपने सपनों के ठीक बीच में खाना बनाया
तुम्हारे सपनों में भी वे बनाती रहीं खाना
पहले तन्वंगी थीं तो खाना बनाया
फिर बेडौल होकर
वे समुद्रों से नहाकर लौटीं तो खाना बनाया
सितारों को छूकर आईं तब भी
उन्होंने कई बार सिर्फ़ एक आलू एक प्याज़ से खाना बनाया
और कितनी ही बार सिर्फ़ अपने सब्र से
दुखती कमर में चढ़ते बुख़ार में
बाहर के तूफ़ान में
भीतर की बाढ़ में उन्होंने खाना बनाया
फिर वात्सल्य में भरकर
उन्होंने उमगकर खाना बनाया
आपने उनसे आधी रात में खाना बनवाया
बीस आदमियों का खाना बनवाया
ज्ञात-अज्ञात स्त्रियों का उदाहरण
पेश करते हुए खाना बनवाया
कई बार आँखें दिखाकर
कई बार लात लगाकर
और फिर स्त्रियोचित ठहराकर
आप चीख़े—उफ़, इतना नमक
और भूल गए उन आँसुओं को
जो ज़मीन पर गिरने से पहले
गिरते रहे तश्तरियों में, कटोरियों में
कभी उनका पूरा सप्ताह इस ख़ुशी में गुज़र गया
कि पिछले बुधवार बिना चीख़े-चिल्लाए
खा लिया गया था खाना
कि परसों दो बार वाह-वाह मिली
उस अतिथि का शुक्रिया
जिसने भरपेट खाया और धन्यवाद दिया
और उसका भी जिसने अभिनय के साथ ही सही
हाथ में कौर लेते ही तारीफ़ की
वे क्लर्क हुईं, अफ़सर हुईं
उन्होंने फर्राटेदार दौड़ लगाई और सितार बजाया
लेकिन हर बार उनके सामने रख दी गई एक ही कसौटी
अब वे थकान की चट्टान पर पीस रही हैं चटनी
रात की चढ़ाई पर बेल रही हैं रोटियाँ
उनके गले से, पीठ से
उनके अँधेरों से रिस रहा है पसीना
रेले बह निकले हैं पिंडलियों तक
और वे कह रही हैं यह रोटी लो
यह गरम है
उन्हें सुबह की नींद में खाना बनाना पड़ा
फिर दुपहर की नींद में
फिर रात की नींद में
और फिर नींद की नींद में उन्होंने खाना बनाया
उनके तलुओं में जमा हो गया है ख़ून
झुकने लगी है रीढ़
घुटनों पर दस्तक दे रहा है गठिया
आपने शायद ध्यान नहीं दिया है
पिछले कई दिनों से उन्होंने
बैठकर खाना बनाना शुरू कर दिया है
हालाँकि उनसे ठीक तरह से बैठा भी नहीं जाता है।
jab ve bulbul theen unhonne khana banaya
phir hirni hokar
phir phulon ki Dali hokar
jab nannhi doob bhi jhoom rahi thi havaon ke saath
jab sab taraf phaili hui thi kunakuni dhoop
unhonne apne sapnon ko gundha
hridyakash ke tare toDkar Dale
bhitar ki kaliyon ka ras milaya
lekin akhir mein unhen sunai di thali phenkne ki avaz
aapne unhen sundar kaha to unhonne khana banaya
aur Dayan kaha tab bhi
unhonne bachche ko garbh mein rakhkar khana banaya
phir bachche ko god mein lekar
unhonne apne sapnon ke theek beech mein khana banaya
tumhare sapnon mein bhi ve banati rahin khana
pahle tanvangi theen to khana banaya
phir beDaul hokar
ve samudron se nahakar lautin to khana banaya
sitaron ko chhukar ain tab bhi
unhonne kai baar sirf ek aalu ek pyaaz se khana banaya
aur kitni hi baar sirf apne sabr se
dukhti kamar mein chaDhte bukhar men
bahar ke tufan men
bhitar ki baaDh mein unhonne khana banaya
phir vatsaly mein bharkar
unhonne umagkar khana banaya
aapne unse aadhi raat mein khana banvaya
bees adamiyon ka khana banvaya
gyaat agyat istriyon ka udaharn
pesh karte hue khana banvaya
kai baar ankhen dikhakar
kai baar laat lagakar
aur phir striyochit thahrakar
aap chikhe uf, itna namak
aur bhool gaye un ansuon ko
jo zamin par girne se pahle
girte rahe tashtariyon mein, katoriyon men
kabhi unka pura saptah is khushi mein guzar gaya
ki pichhle budhvar bina chikhe chillaye
kha liya gaya tha khana
ki parson do baar vaah vaah mili
us atithi ka shukriya
jisne bharpet khaya aur dhanyavad diya
aur uska bhi jisne abhinay ke saath hi sahi
haath mein kaur lete hi tarif ki
ve clerk huin, afsar huin
unhonne pharratedar dauD lagai aur sitar bajaya
lekin har baar unke samne rakh di gai ek hi kasauti
ab ve thakan ki chattan par pees rahi hain chatni
raat ki chaDhai par bel rahi hain rotiyan
unke gale se, peeth se
unke andheron se ris raha hai pasina
rele bah nikle hain pinDliyon tak
aur ve kah rahi hain ye roti lo
ye garam hai
unhen subah ki neend mein khana banana paDa
phir dopahar ki neend men
phir raat ki neend men
aur phir neend ki neend mein unhonne khana banaya
unke taluon mein jama ho gaya hai khoon
jhukne lagi hai reeDh
ghutnon par dastak de raha hai ganthiya
aapne shayad dhyaan nahin diya hai
pichhle kai dinon se unhonne
baithkar khana banana shuru kar diya hai
halanki unse theek tarah se baitha bhi nahin jata hai.

स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 117)
रचनाकार : कुमार अम्बुज
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.