यह कौन है
जो तुम्हारे टोले से जब न तब
उठा ले जाता है जवान मुर्ग़ियाँ, अंडे, बकरियों
तुम्हारे खूँटे से दिन दहाड़े खोल ले जाता है
नई-नई ब्याई गइया
कौन तुम्हारे घरों में घुस जाता है
वक़्त-बेवक़्त
और कोहराम मचा देता है
इन खेतों में
जो मार फ़सलें उगती हैं
तुम्हारे पसीने से सींचकर
उन्हें कौन अपने गोदामों में भर ताला मार देता है
तुम्हारा चूल्हा क्यों नहीं जलता दोनों बेर
तुम्हारे बच्चों को स्लेट की जगह
कौन पकड़ा देता है हँसिया
तुम्हारी किशोरी बच्चियों को
तुम्हारे सामने से कौन खींच ले जाता है
तुम्हारी औरतें अपने पेट और गोद में किसका बच्चा पालती हैं
यह कौन है
जो तुम्हें पहुँचने नहीं देता मतदान-केंद्र तक
जो तुम्हारे उपजाए अन्न के ज़ोर पर
तुम्हीं पर ऐंठता है रोब
तुम्हारे ही बनाए लोहे से तुम्हें डराता है
आख़िर वह कौन है
जिसने खेत-खलिहान, फ़ैक्ट्री-गोदाम
थाने से लेकर संसद तक हथिया रखा है
और तुम्हारे ही विरुद्ध तुम्हारा इस्तेमाल कर रखा है
उसे तुम जानते तो हो
फिर बोलते क्यों नहीं
बोलो आख़िर कब बोलोगे
यह है कौन
कौन है यह
ye kaun hai
jo tumhare tole se jab na tab
utha le jata hai javan murgiyan, anDe, bakariyon
tumhare khunte se din dahaDe khol le jata hai
nai nai byai gaiya
kaun tumhare gharon mein ghus jata hai
vakt bevakt
aur kohran nacha deta hai
in kheton men
jo maar phaslen ugti hain
tumhare pasine se sinchkar
unhen kaun apne godamon mein tala maar deta hain
tumhara chulha kyon nahin jalta donon ber
tumhare bachchon ko slet ki jagah
kaun pakDa deta hai haisiya
tumhari kishori bachchiyon ko
tumhare samne se kaun kheench le jata hai
tumhari aurten apne pet aur god mein kiska bachcha palti hain
ye kaun hai
jo tumhein pahunchne nahin deta matdan kendr tak
jo tumhare upjaye ann ke jor par
tumhin par ainthta hai rob
tumhare hi banaye lohe se tumhein Darata hai
akhir wo kaun hai
jisne khet khalihan, faiktri godam
thane se lekar sansad tak hathiya rakha hai
aur tumhare hi viruddh tumhara istemal kar rakha hai
use tum jante to ho
phir bolte kyon nahin
bolo akhir kab bologe
ye hai kaun
kaun hai ye
ye kaun hai
jo tumhare tole se jab na tab
utha le jata hai javan murgiyan, anDe, bakariyon
tumhare khunte se din dahaDe khol le jata hai
nai nai byai gaiya
kaun tumhare gharon mein ghus jata hai
vakt bevakt
aur kohran nacha deta hai
in kheton men
jo maar phaslen ugti hain
tumhare pasine se sinchkar
unhen kaun apne godamon mein tala maar deta hain
tumhara chulha kyon nahin jalta donon ber
tumhare bachchon ko slet ki jagah
kaun pakDa deta hai haisiya
tumhari kishori bachchiyon ko
tumhare samne se kaun kheench le jata hai
tumhari aurten apne pet aur god mein kiska bachcha palti hain
ye kaun hai
jo tumhein pahunchne nahin deta matdan kendr tak
jo tumhare upjaye ann ke jor par
tumhin par ainthta hai rob
tumhare hi banaye lohe se tumhein Darata hai
akhir wo kaun hai
jisne khet khalihan, faiktri godam
thane se lekar sansad tak hathiya rakha hai
aur tumhare hi viruddh tumhara istemal kar rakha hai
use tum jante to ho
phir bolte kyon nahin
bolo akhir kab bologe
ye hai kaun
kaun hai ye
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.