हवा ख़िलाफ़ थी
और मैं जा रहा था
एक चौराहा ही गुज़रा था
मुझे लगा
साइकिल में कम हो रही है हवा
दूसरे चौराहे तक पहुँचते-पहुँचते
टायर से हवा हो गई हवा
पूरी तरह से
हवा बह रही थी
और हमारे यहाँ लोकतंत्र भी था
लेकिन मैं इस क़दर निरुपाय था
कि थोड़ी-सी भी नहीं भर सकता था हवा
अपनी साइकिल में
काफ़ी देर घिसटने के बाद
मैंने देखा
पेड़ के नीचे बोरे पर बैठा एक आदमी
एक पंप और टूटे बक्से के साथ
जब मैं उसके पास पहुँचा
झपकी ले रहे थे औज़ार
उस टूटे बक्से में
साइकिल को देखते ही
वह आदमी बक्से पर झुका
आँखें मलने लगा औज़ार
फिर उसने टायर खोला
ट्यूब को पानी भरे तसले में डुबोया
और कुछ ग़ौर से देखने लगा
जैसे तलाश रहा हो वह जगह
जहाँ दुश्मन ने बना रखा है
चोर दरवाज़ा
पानी के बुलबुले के नीचे
छिपा था
चोर दरवाज़ा
मुझे यह करिश्मा-सा लगा
जब निस्पंद टायर ज़रा हिला
फिर लड़खड़ाता हुआ उठा
और तनकर खड़ा हो गया
एक योद्धा की तरह
तनकर खड़े होने में
कितना सौंदर्य है
कितनी गरिमा
मैंने पहली बार महसूस किया
hawa khilaf thi
aur main ja raha tha
ek chauraha hi guzra tha
mujhe laga
cycle mein kam ho rahi hai hawa
dusre chaurahe tak pahunchte pahunchte
tyre se hawa ho gai hawa
puri tarah se
hawa bah rahi thi
aur hamare yahan loktantr bhi tha
lekin main is qadar nirupay tha
ki thoDi si bhi nahin bhar sakta tha hawa
apni cycle mein
kafi der ghisatne ke baad
mainne dekha
peD ke niche bore par baitha ek adami
ek pamp aur tute bakse ke sath
jab main uske pas pahuncha
jhapki le rahe the auzar
us tute bakse mein
cycle ko dekhte hi
wo adami bakse par jhuka
ankhen malne laga auzar
phir usne tyre khola
tube ko pani bhare tasle mein Duboya
aur kuch ghaur se dekhne laga
jaise talash raha ho wo jagah
jahan dushman ne bana rakha hai
chor darwaza
pani ke bulbule ke niche
chhipa tha
chor darwaza
mujhe ye karishma sa laga
jab nispand tyre zara hila
phir laDkhaData hua utha
aur tankar khaDa ho gaya
ek yoddha ki tarah
tankar khaDe hone mein
kitna saundarya hai
kitni garima
mainne pahli bar mahsus kiya
hawa khilaf thi
aur main ja raha tha
ek chauraha hi guzra tha
mujhe laga
cycle mein kam ho rahi hai hawa
dusre chaurahe tak pahunchte pahunchte
tyre se hawa ho gai hawa
puri tarah se
hawa bah rahi thi
aur hamare yahan loktantr bhi tha
lekin main is qadar nirupay tha
ki thoDi si bhi nahin bhar sakta tha hawa
apni cycle mein
kafi der ghisatne ke baad
mainne dekha
peD ke niche bore par baitha ek adami
ek pamp aur tute bakse ke sath
jab main uske pas pahuncha
jhapki le rahe the auzar
us tute bakse mein
cycle ko dekhte hi
wo adami bakse par jhuka
ankhen malne laga auzar
phir usne tyre khola
tube ko pani bhare tasle mein Duboya
aur kuch ghaur se dekhne laga
jaise talash raha ho wo jagah
jahan dushman ne bana rakha hai
chor darwaza
pani ke bulbule ke niche
chhipa tha
chor darwaza
mujhe ye karishma sa laga
jab nispand tyre zara hila
phir laDkhaData hua utha
aur tankar khaDa ho gaya
ek yoddha ki tarah
tankar khaDe hone mein
kitna saundarya hai
kitni garima
mainne pahli bar mahsus kiya
स्रोत :
पुस्तक : ख़िलाफ़ हवा से गुज़रते हुए (पृष्ठ 36)
रचनाकार : विनोद दास
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.