शीरे की गंध में डूबा
एक गाँव
मिल का मैनेजर ख़ुश है कि चीनी के बोरों पर
सर रखकर वह ऊँघ सकता है।
काम पर जाने को भागते
फटिहल कार्डों को पंचिंग मशीन में फँसाते लोग
मिल के उस शोर में भूल जाते हैं
रसोईघर में से आने वाली ढेरों शिकायतें कि बर्तनों पर
जमने वाली धूल
उनका रंग बदलती है।
शीरे की गंध में डूबे
गाँव के लोग सूँघ नहीं पाते
मिल मैनेजर के ख़याल में
यही बहुत है कि वे सुन लेते हैं
झुलसे हुए खेतों की रोशनी में दिखते उस
रास्ते में साइकिल खींचता नौजवान
ग़ुस्सा हो जाता है
कीचड़ में पहिया धँसाकर
बताता है एक आदमी की कहानी
पचास साल पहले मर चुके आदमी की कहानी
“जो लड़ा था
उसने किए थे आंदोलन
एक आदमी था हमारे गाँव में”
उसे पूरी उम्मीद है कि हवा की गंध को
वह थोड़ा बचा सकेगा
थोड़े-से पेड़ों से टकराकर
जो एक जले हुए गढ़ों वाले खेत में
ग़ायब हो जाती है
एक धर्मात्मा की कृपा से
उस उजाड़ के पुराने मंदिर के
सूखे तालाब में
हवा पत्थर के खंभों के पलस्तर की
सीलन से टकराकर
उस नौजवान के सीने में
उतर जाती है
हवा—जिसमें बड़ी तेज़ गंध है
शीरे की।
shire ki gandh mein Duba
ek ganw
mil ka manager khush hai ki chini ke boron par
sar rakhkar wo ungh sakta hai
kaam par jane ko bhagte
phatihal karDon ko panching machine mein phansate log
mil ke us shor mein bhool jate hain
rasoighar mein se aane wali Dheron shikayten ki bartnon par
jamne wali dhool
unka rang badalti hai
shire ki gandh mein Dube
ganw ke log soongh nahin pate
mil manager ke khayal mein
yahi bahut hai ki we sun lete hain
jhulse hue kheton ki roshni mein dikhte us
raste mein cycle khinchta naujawan
ghussa ho jata hai
kichaD mein pahiya dhansakar
batata hai ek adami ki kahani
pachas sal pahle mar chuke adami ki kahani
“jo laDa tha
usne kiye the andolan
ek adami tha hamare ganw mein”
use puri ummid hai ki hawa ki gandh ko
wo thoDa bacha sakega
thoDe se peDon se takrakar
jo ek jale hue gaDhon wale khet mein
ghayab ho jati hai
ek dharmatma ki kripa se
us ujaD ke purane mandir ke
sukhe talab mein
hawa patthar ke khambhon ke palastar ki
silan se takrakar
us naujawan ke sine mein
utar jati hai
hawa—jismen baDi tez gandh hai
shire ki
shire ki gandh mein Duba
ek ganw
mil ka manager khush hai ki chini ke boron par
sar rakhkar wo ungh sakta hai
kaam par jane ko bhagte
phatihal karDon ko panching machine mein phansate log
mil ke us shor mein bhool jate hain
rasoighar mein se aane wali Dheron shikayten ki bartnon par
jamne wali dhool
unka rang badalti hai
shire ki gandh mein Dube
ganw ke log soongh nahin pate
mil manager ke khayal mein
yahi bahut hai ki we sun lete hain
jhulse hue kheton ki roshni mein dikhte us
raste mein cycle khinchta naujawan
ghussa ho jata hai
kichaD mein pahiya dhansakar
batata hai ek adami ki kahani
pachas sal pahle mar chuke adami ki kahani
“jo laDa tha
usne kiye the andolan
ek adami tha hamare ganw mein”
use puri ummid hai ki hawa ki gandh ko
wo thoDa bacha sakega
thoDe se peDon se takrakar
jo ek jale hue gaDhon wale khet mein
ghayab ho jati hai
ek dharmatma ki kripa se
us ujaD ke purane mandir ke
sukhe talab mein
hawa patthar ke khambhon ke palastar ki
silan se takrakar
us naujawan ke sine mein
utar jati hai
hawa—jismen baDi tez gandh hai
shire ki
स्रोत :
रचनाकार : विनोद भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.