मैंने जीने का
बेहद बदतर विकल्प चुना है
मेरे काग़ज़-क़लम के परिश्रम से
किसी भी चीज़ पर
कोई फ़र्क़ नहीं पड़ता
मेरे कविता लिखने से
कोई बारिश बंद नहीं होती
भले ही मेरी कविता में
ऐसे लोगों का ज़िक्र हो
जिनके पास सिर छुपाने के लिए
कुछ भी नहीं है
भले ही मेरी कविता में
उस गुलाब का ज़िक्र हो
जो बूँदों की मार सहने में अक्षम है
मेरे कविता लिखने से
कोई नदी अपना रास्ता नहीं बदलती
भले ही मैंने वह कविता
बाढ़ में डूबी
फ़सलों के रस से लिखी हो
मेरे कविता लिखने से
किसी भूखे का पेट नहीं भरता
भले ही मेरी कविता में
उस फ़रिश्ते का ज़िक्र हो
जिसके छड़ी हिलाने भर से
छप्पन भोग बिछ जाते हैं
मैंने जीने का बेहद
बदतर विकल्प चुना है
मेरे कविता लिखने से
कुछ फ़र्क़ नहीं पड़ता
मेरे कविता लिखने से
बाढ़, पानी, भूख, बारिश और गुलाब
कोई कवि नहीं होता
मैंने जीने का बेहद
बदतर विकल्प चुना है।
mainne jine ka
behad badtar wikalp chuna hai
mere kaghaz qalam ke parishram se
kisi bhi cheez par
koi farq nahin paDta
mere kawita likhne se
koi barish band nahin hoti
bhale hi meri kawita mein
aise logon ka zikr ho
jinke pas sir chhupane ke liye
kuch bhi nahin hai
bhale hi meri kawita mein
us gulab ka zikr ho
jo bundon ki mar sahne mein aksham hai
mere kawita likhne se
koi nadi apna rasta nahin badalti
bhale hi mainne wo kawita
baDh mein Dubi
faslon ke ras se likhi ho
mere kawita likhne se
kisi bhukhe ka pet nahin bharta
bhale hi meri kawita mein
us farishte ka zikr ho
jiske chhaDi hilane bhar se
chhappan bhog bichh jate hain
mainne jine ka behad
badtar wikalp chuna hai
mere kawita likhne se
kuch farq nahin paDta
mere kawita likhne se
baDh, pani, bhookh, barish aur gulab
koi kawi nahin hota
mainne jine ka behad
badtar wikalp chuna hai
mainne jine ka
behad badtar wikalp chuna hai
mere kaghaz qalam ke parishram se
kisi bhi cheez par
koi farq nahin paDta
mere kawita likhne se
koi barish band nahin hoti
bhale hi meri kawita mein
aise logon ka zikr ho
jinke pas sir chhupane ke liye
kuch bhi nahin hai
bhale hi meri kawita mein
us gulab ka zikr ho
jo bundon ki mar sahne mein aksham hai
mere kawita likhne se
koi nadi apna rasta nahin badalti
bhale hi mainne wo kawita
baDh mein Dubi
faslon ke ras se likhi ho
mere kawita likhne se
kisi bhukhe ka pet nahin bharta
bhale hi meri kawita mein
us farishte ka zikr ho
jiske chhaDi hilane bhar se
chhappan bhog bichh jate hain
mainne jine ka behad
badtar wikalp chuna hai
mere kawita likhne se
kuch farq nahin paDta
mere kawita likhne se
baDh, pani, bhookh, barish aur gulab
koi kawi nahin hota
mainne jine ka behad
badtar wikalp chuna hai
स्रोत :
रचनाकार : सारुल बागला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.