कलाई पर लगी घड़ी,
सबका वक़्त कहाँ बताती है,
नहीं बताती वह नौकरों और औरतों का वक़्त,
वक़्त सबका नहीं होता—
कुछ लोगों की ज़िंदगी
वक़्त को बनाए रखने के लिए होती है
वक़्त के हिसाब से भागते रहने के लिए,
एक नौकर और एक औरत रात में भी
ख़ाली नहीं सोते,
अगले सुबह के समय को
पकड़ने की तैयारी में सोते हैं
दुपहरी मे चढ़ती धूप के ताप से,
चंद सेकेंड सुस्ताने की फ़िराक़ में,
मुर्ग़े की बाँग के साथ शुरू होती है
उनकी सुबह
मज़दूर मंडी मे काम बँटने से पहले
मालिको के उठने से पहले
आँगन में धूप निकलने से पहले
चूल्हे पर खाना बना लेने तक की होड़ में
तय होता है सुबह का उठना
'वक़्त' सबका वक़्त नहीं बताता
घड़ी ग़रीबों, नौकरों, और औरतों की
कलाई पर बाँधी जाती रही
ताकि मालिकों को वक़्त पर
सब कुछ मिलता रहे
माँ ने कहा था वक़्त सबका आता है
और वह हमेशा के लिए चली गई
उसका वक़्त ठहर गया
लेकिन आया नहीं
माज़ी और मुस्तक़बिल के बीच
फँसा जो मौजूदा मैं हूँ
वह मैं होकर भी मैं नहीं हूँ
क्योंकि वक़्त से मेरी लड़ाई हो रखी है
और तुम—क्या तुमने देखा है
ऐसे किसी एक ग़रीब और औरत को?
अगर नहीं देखा तो यक़ीन करो मेरे दोस्त
तुमने घडी वक़्त और ज़िंदगी नहीं देखी!
kalai par lagi ghaDi,
sabka vaqt kaha batati hai,
nahin batati wo naukar aur aurton ka vaqt,
vaqt sabka nahin hota—kuchh logon ko zindagi vaqt ko banaye rakhne ke liye hoti hai,
vaqt ke hisab se bhagte rahne ke liye,
ek naukar aur ek aurat raat men
bhi khali nahin sote,
agle subah ke samay ko
pakaDne ki taiyari mein sote hain,
dopahri mae chaDhte dhoop ke taap se,
chand second sustane ke firaq mein,
murgen ki baang ke saath shuru hoti hai
unki subah,
majdur manDi mae kaam batne se pahle
maliko ke uthne se pahle
angan mein dhoop nikalne se pahle
chulha par khana bana lene tak ki hoD
mein tay hota hai subah ka uthna
vaqt sabka vaqt nahin batata
ghaDi gharibon, naukaron, aur aurton,
ke kalai par bandhi jati rahi
taki maliko ko vaqt par
sab kuch milta rahe
maan ne kaha tha vaqt sabka aata hai
aur wo hamesha ke chali gai
uska vaqt thahar gaya lekin aaya nahin
mazi aur mustaqbil ke beech
phansa jo maujuda main hoon
wo main hokar bhi main nahin hoon
kyonki vaqt se meri laDai ho rakhi hai
aur tum—kya tumne dekha hai aise kisi ek gharib aur aurat ko?
agar nahin dekhe to yakin karo mere dost
tumne ghaDi vaqt aur zindagi nahin dekhi!
kalai par lagi ghaDi,
sabka vaqt kaha batati hai,
nahin batati wo naukar aur aurton ka vaqt,
vaqt sabka nahin hota—kuchh logon ko zindagi vaqt ko banaye rakhne ke liye hoti hai,
vaqt ke hisab se bhagte rahne ke liye,
ek naukar aur ek aurat raat men
bhi khali nahin sote,
agle subah ke samay ko
pakaDne ki taiyari mein sote hain,
dopahri mae chaDhte dhoop ke taap se,
chand second sustane ke firaq mein,
murgen ki baang ke saath shuru hoti hai
unki subah,
majdur manDi mae kaam batne se pahle
maliko ke uthne se pahle
angan mein dhoop nikalne se pahle
chulha par khana bana lene tak ki hoD
mein tay hota hai subah ka uthna
vaqt sabka vaqt nahin batata
ghaDi gharibon, naukaron, aur aurton,
ke kalai par bandhi jati rahi
taki maliko ko vaqt par
sab kuch milta rahe
maan ne kaha tha vaqt sabka aata hai
aur wo hamesha ke chali gai
uska vaqt thahar gaya lekin aaya nahin
mazi aur mustaqbil ke beech
phansa jo maujuda main hoon
wo main hokar bhi main nahin hoon
kyonki vaqt se meri laDai ho rakhi hai
aur tum—kya tumne dekha hai aise kisi ek gharib aur aurat ko?
agar nahin dekhe to yakin karo mere dost
tumne ghaDi vaqt aur zindagi nahin dekhi!
स्रोत :
रचनाकार : अंशू कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.