उस शहर का स्वाद नमकीन हो जाता है
जहाँ आप अपना प्रेम छोड़ आते हैं
उस शहर की रातें गीली
और सुबह की दूब
ओस के भार से हल्की झुकी होती है
उस शहर का चेहरा
प्रेमिका के चेहरे जैसा ही उदास
मकान, दुकान, मस्जिद, मंदिर, गुरुद्वारों की
दीवारें बदरंग होती हैं
उस शहर के बाग़ कुम्हलाए होते हैं
उस शहर में फूलों में ख़ुशबू नहीं होती
उस शहर का सूरज आईने पर
छूटी हुई बिंदी होता है
उस शहर की छत पर चाँद अकेला आता है
उस शहर गलियों में हवा धीरे-धीरे गुज़रती है
रात भर जागे हुए शहर के सुबह की आँखें लाल होती हैं
उस शहर की शाम देर से ढलती है
उस शहर में रात
दुनिया की सबसे बड़ी और बेबस रात होती है
रात के अंतिम पहर में शहर
धीरे-धीरे किसी का नाम पुकारता है।
us shahr ka svaad namkin ho jata hai
jahan aap apna prem chhoD aate hain
us shahr ki raten gili
aur subah ki doob
os ke bhaar se halki jhuki hoti hai
us shahr ka chehra
premika ke chehre jaisa hi udaas
makan dukan masjid mandir gurudvaron ki divaren badrang
hoti hain.
us shahr ke baag kunhlaye hote hain
us shahr mein phulon mein khushbu nahin hoti
us shahr ka suraj aine par chhuti hui bindi hota hai
us shahr ki chhat par chaand akela aata hai
us shahr galiyon mein hava dhire dhire guzarti hai
raat bhar jage hue shahr ke subah ki ankhen laal hoti hain
us shahr ki shaam der se Dhalti hai
us shahr mein raat
duniyan ki sabse baDi aur bebas raat hoti hai
raat ke antim pahar mein shahr dhire dhire kisi ka naam pukarta hai.

स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.