जब वह ठठाकर हँसता है
राक्षसी हँसी
देखकर किसी कमज़ोर को
रिरियाते-गिड़गिड़ाते हुए
तब अंगारा आँखों से देखती रहती हूँ
उसकी आँखों में
बिना पलक झपकाए
इस तरह मैं उससे अपना विरोध दर्ज कराती हूँ
वह किसी को छठी का दूध याद दिलाने
और किसी के पाँवों तले से
ज़मीन खिसकाने की करता है बातें
मैं उसके पाँवों को
काट देने वाली नज़रों से
देखती हूँ लगातार
इस तरह मैं उससे अपना विरोध दर्ज कराती हूँ
जब वह किसी निर्दोष से
बदला लेने के लिए
निकल पड़ता है घर से
तब मैं उसकी राह में काँटों का आह्वान करती हूँ
फूलों को हटाकर अपने हाथों से
ख़ुद भी उसकी राह में एक काँटा बनकर खड़ी हो जाती हूँ
इस तरह मैं उससे अपना विरोध दर्ज कराती हूँ
ऐसे ही किसी काम के लिए
जब वह हुक्म देता है—मेरे साथ चलो
मैं पाँव रोप तनकर खड़ी हो जाती हूँ
वह देखता रहता है
चीर देने वाली निगाहों से मुझे
और मैं तब हिलती भी नहीं
उसे उसी की निगाहों से देखती हूँ
इस तरह मैं उससे अपना विरोध दर्ज कराती हूँ
उसकी हिम्मत तोड़ती हूँ
मित्रो, विरोध का यह भी एक तरीक़ा है
jab wo thathakar hansta hai
rakshsi hansi
dekhkar kisi kamzor ko
ririyate giDgiDate hue
tab angara ankhon se dekhti rahti hoon uski ankhon mein
bina palak jhapkaye
is tarah main usse apna virodh darz karati hoon
wo kisi ko chhathi ka doodh yaad dilane
aur kisi ke panvon tale se
zamin khiskane ki karta hai baten
main uske panvon ko
kaat dene vali nazron se
dekhti hoon lagatar
is tarah main usse apna virodh darz karati hoon
jab wo kisi nirdosh se
badla lene ke liye
nikal paDta hai ghar se
tab main uski raah mein kanton ka ahvan karti hoon
phulon ko hatakar apne hathon se
khu bhi uski raah mein ek kanta bankar khaDi ho jati hoon
is tarah main usse apna virodh darz karati hoon
aise hi kisi kaam ke liye
jab wo hukm deta hai—mere saath chalo
main paanv rop tankar khaDi ho jati hoon
wo dekhta rahta hai
cheer dene vali nigahon se mujhe
aur main tab hilti bhi nahin
use usi ki nigahon se dekhti hoon
is tarah main usse apna virodh darz karati hoon
uski himmat toDti hoon
mitron, virodh ka ye bhi ek tariqa hai

स्रोत :
रचनाकार : पद्मजा शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.