जंगल से निकल हम लोग
जंगल में ही भटकते रहते हैं
अहर्निश
हम लोगों को अच्छा लगता है
एक ही जगह घूमते रहना
स्थिर रहना।
हम लोगों की गति पर, चेतना पर
जैसे बर्फ़ की चट्टान औंधी रहती है
हम लोग गलते रहते हैं चुपचाप
ऐसी ही स्थिति अच्छी लगती है
गतिहीनता की यह मुद्रा।
लेकिन अब तोड़ना ही होगा
बर्फ़ की चट्टान को हटाना ही होगा
सर के ऊपर से
नहीं तो और कब तक
गलते रहेंगे हम सभी इसी तरह?
नहीं, नहीं ऐसे नहीं चलेगा काम
फाड़ो इस अंधकार को
अथवा गले में दो उँगलियाँ
कुछ आवाज़ तो होगी
कोई विरोध की आवाज़।
आवश्यक है
गतिहीनता को तोड़ने के लिए
चेतना
को नए आयामों से जोड़ने के लिए
अनिवार्य है उपक्रम।
jangal se nikal hum log
jangal mein hi bhatakte rahte hain
aharnish
hum logon ko achchha lagta hai
ek hi jagah ghumte rahna
sthir rahna.
hum logon ki gati par, chetna par
jaise ba ki chattan aundhi rahti hai
hum log galte rahte hain chupchap
aisi hi sthiti achchhi lagti hai
gatihinta ki ye mudra.
lekin ab toDna hi hoga
barf ki chattan ko hatana hi hoga
sar ke upar se
nahin to aur kab tak
galte rahenge hum sabhi isi tarah?
nahin, nahin aise nahin chalega kaam
phaDo is andhkar ko
athva gale mein do ungliyan
kuch avaz to hogi
koi virodh ki avaz.
avashyak hai
gatihinta ko toDne ke liye
chetna
ko nae ayamon se joDne ke liye
anivary hai upakram.
jangal se nikal hum log
jangal mein hi bhatakte rahte hain
aharnish
hum logon ko achchha lagta hai
ek hi jagah ghumte rahna
sthir rahna.
hum logon ki gati par, chetna par
jaise ba ki chattan aundhi rahti hai
hum log galte rahte hain chupchap
aisi hi sthiti achchhi lagti hai
gatihinta ki ye mudra.
lekin ab toDna hi hoga
barf ki chattan ko hatana hi hoga
sar ke upar se
nahin to aur kab tak
galte rahenge hum sabhi isi tarah?
nahin, nahin aise nahin chalega kaam
phaDo is andhkar ko
athva gale mein do ungliyan
kuch avaz to hogi
koi virodh ki avaz.
avashyak hai
gatihinta ko toDne ke liye
chetna
ko nae ayamon se joDne ke liye
anivary hai upakram.
स्रोत :
पुस्तक : मैथिली कविताएँ (पृष्ठ 63)
संपादक : ज्ञानरंजन, कमलाप्रसाद
रचनाकार : सुस्मिता पाठक
प्रकाशन : पहल प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.