तुम जब भी आओगे
मेरी उलझी हुई ज़िंदगी का
सबूत माँगने
तो काग़ज़ में लिखी दास्तानों से
नहीं समझ पाओगे
मेरे जिस्म में सूखती शिराओं का दर्द
वर्षों से अपने आँगन में
अकेली करती रही हूँ मैं
अपनी ही परछाइयों से संवाद
अपने ही पाँवों की आहट पर
सुनती रही हूँ मैं, तुम्हारे आने की पदचापें
कितना मुश्किल होता है
अपने आप में अकेले होना
राख़ के ढेर में अरमानों का
दब जाना
एकाकी संघर्षों में
हथेलियों का घिस जाना
तुम नहीं समझ पाओगे
मेरी देह में उगी कटीली
झाड़ियों की मार
जिसे मैं वर्षों से
झेल रही हूँ, अपने जिस्म पर
देखती रही हूँ मैं वर्षों से
घर लौटते पक्षियों की कतारों में
तुम्हारे वापस आने की
उम्मीदों के सपने
तुम नहीं समझ पाओगे
सूखे पत्तों सरीखे
सड़कों पर बिखरे
मेरे सपनों की पीड़ा
और मेरी उम्मीदों के
मर जाने का दर्द भी।
tum jab bhi aoge
meri uljhi hui zindagi ka
sabut mangne
to kaghaz mein likhi dastanon se
nahin samajh paoge
mere jism mein sukhti shiraon ka dard
varshon se apne angan men
akeli karti rahi hoon main
apni hi parchhaiyon se sanvad
apne hi panvon ki aahat par
sunti rahi hoon main, tumhare aane ki padchapen
kitna mushkil hota hai
apne aap mein akele hona
raakh ke Dher mein armanon ka
dab jana
ekaki sangharshon men
hatheliyon ka ghis jana
tum nahin samajh paoge
meri deh mein ugi katili
jhaDiyon ki maar
jise main varshon se
jhel rahi hoon, apne jism par
dekhti rahi hoon main varshon se
ghar lautte pakshiyon ki kataron men
tumhare vapas aane ki
ummidon ke sapne
tum nahin samajh paoge
sukhe patton sarikhe
saDkon par bikhre
mere sapnon ki piDa
aur meri ummidon ke
mar jane ka dard bhi.
tum jab bhi aoge
meri uljhi hui zindagi ka
sabut mangne
to kaghaz mein likhi dastanon se
nahin samajh paoge
mere jism mein sukhti shiraon ka dard
varshon se apne angan men
akeli karti rahi hoon main
apni hi parchhaiyon se sanvad
apne hi panvon ki aahat par
sunti rahi hoon main, tumhare aane ki padchapen
kitna mushkil hota hai
apne aap mein akele hona
raakh ke Dher mein armanon ka
dab jana
ekaki sangharshon men
hatheliyon ka ghis jana
tum nahin samajh paoge
meri deh mein ugi katili
jhaDiyon ki maar
jise main varshon se
jhel rahi hoon, apne jism par
dekhti rahi hoon main varshon se
ghar lautte pakshiyon ki kataron men
tumhare vapas aane ki
ummidon ke sapne
tum nahin samajh paoge
sukhe patton sarikhe
saDkon par bikhre
mere sapnon ki piDa
aur meri ummidon ke
mar jane ka dard bhi.
स्रोत :
रचनाकार : वंदना गुप्ता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.