तुम्हारे जाने के बाद
समुद्र की लहरें स्तब्ध हो गईं
आसमान में खो गये झाऊ वन के स्वर
बस एक विवर्ण आसमान
उसी में छिप गया चाँद।
कई शताब्दियों के बाद
प्रतीक्षा मेरी, सोचा था समाप्त हुई,
उसी दिन तुम आई थी
मुट्ठी भर रोशनी लिए
आसमान ने सिमटकर
रोशनी को चूम लिया था।
कई दिन और रातें
तुम्हारे लिए थीं एक अनन्त प्रतीक्षा,
बहती नदी पर
लकीर-सा
था वह अलीक मिलन;
तुम्हें देखने से पहले ही
पानी की लकीरें पानी में मिल गईं
अपनी राह चुनकर तुम चली गई
मेरे जीवन से बहुत दूर
एक बार भी नहीं देखा तुमने पीछे मुड़कर
देखने को कई एक
अधगढ़े सोपान आशाओं के
पल भर के लिए
बीच में एक छोटा आसमान
उसके होंठों पर एक गुलाब
इस ओर मैं और
उस ओर थी तुम
तुमने कुछ नहीं कहा
मैं कुछ कह नहीं पाया
फूल मुरझा गया
फैल गया आसमान
इस ओर मैं और
उस ओर
खो गई तुम।
सीमित है यह जीवन
मैं चाहता हूँ भूलना
तुम्हारी सारी स्मृतियाँ,
मैं चाहता हूँ देखना
एक नई सुबह का
एक नन्हा नया कौआ
अपने नए छप्पर पर
उसके होंठों पर एक नया स्वर
मेरी बाड़ी के पिछवाड़े
एक छोटा-सा झरना बह रहा होगा
उस चहले पानी में
एक परछाईं बह रही होगी
उसकी आँखों में होगा एक नया हस्ताक्षर।
tumhare jane ke baad
samudr ki lahren stabdh ho gayin
asman mein kho gaye jhau wan ke swar
bus ek wiwarn asman
usi mein chhip gaya chand
kai shatabdiyon ke baad
pratiksha meri, socha tha samapt hui,
usi din tum aayi theen
mutthi bhar roshni liye
asman ne simatkar
roshni ko choom liya tha
kai din aur raten
tumhare liye theen ek anant pratiksha,
bahti nadi par
lakir sa
tha wo alik milan;
tumhein dekhne se pahle hi
pani ki lakiren pani mein mil gayin
apni rah chunkar tum chali gayin
mere jiwan se bahut door
ek bar bhi nahin dekha tumne pichhe muDkar
dekhne ko kai ek
adhagDhe sopan ashaon ke
pal bhar ke liye
beech mein ek chhota asman
uske honthon par ek gulab
is or main aur
main kuch kah nahin paya
us or theen tum tumne kuch nahin kaha
phool murjha gaya
phail gaya asman
is or main aur
is or main aur
us or
kho gayi tum
simit hai ye jiwan
main chahta hoon bhulna
tumhari sari smritiyan,
main chahta hoon dekhana
ek nayi subah ka
ek nanha naya kaua
apne naye chhappar par
uske honthon par ek naya swar
meri baDi ke pichhwaDe
ek chhota sa jharna bah raha hoga
us chahle pani mein
ek parchhain bah rahi hogi
uski ankhon mein hoga ek naya hastakshar
tumhare jane ke baad
samudr ki lahren stabdh ho gayin
asman mein kho gaye jhau wan ke swar
bus ek wiwarn asman
usi mein chhip gaya chand
kai shatabdiyon ke baad
pratiksha meri, socha tha samapt hui,
usi din tum aayi theen
mutthi bhar roshni liye
asman ne simatkar
roshni ko choom liya tha
kai din aur raten
tumhare liye theen ek anant pratiksha,
bahti nadi par
lakir sa
tha wo alik milan;
tumhein dekhne se pahle hi
pani ki lakiren pani mein mil gayin
apni rah chunkar tum chali gayin
mere jiwan se bahut door
ek bar bhi nahin dekha tumne pichhe muDkar
dekhne ko kai ek
adhagDhe sopan ashaon ke
pal bhar ke liye
beech mein ek chhota asman
uske honthon par ek gulab
is or main aur
main kuch kah nahin paya
us or theen tum tumne kuch nahin kaha
phool murjha gaya
phail gaya asman
is or main aur
is or main aur
us or
kho gayi tum
simit hai ye jiwan
main chahta hoon bhulna
tumhari sari smritiyan,
main chahta hoon dekhana
ek nayi subah ka
ek nanha naya kaua
apne naye chhappar par
uske honthon par ek naya swar
meri baDi ke pichhwaDe
ek chhota sa jharna bah raha hoga
us chahle pani mein
ek parchhain bah rahi hogi
uski ankhon mein hoga ek naya hastakshar
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविताएँ 1989-90-91 (पृष्ठ 42)
संपादक : र. श. केलकर
रचनाकार : बनबिहारी पंडा
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.