जब तुम मुझे गले लगाते हो
उस भयानक दृश्य को अनदेखा कर
जहाँ चढ़ी भौहें और तरेरती आँखों से
हमें निगल जाने के लिए तैयार बैठा हो
सभ्य समाज
तब जब दी जा चुकी हो मुझे
अनगिनत उपाधियाँ—
बेशर्म बेहया और बदचलन की
उस क्षण तुम्हारे आलिंगन में
महसूस होता है की
प्रम हो सकता है कितना प्रबल
इन कमज़ोरों-दुर्बलों के बीच
जिन्हें कभी न हो सका प्रेम
प्रेमी से कुत्तों से या फूलों से
सो जमती गई काई
पनपती गई घृणा आँखों की कोर पर
और सड़ाती गई इन्हें भीतर हीं भीतर
पानी की विरलता से मच रहा है हाहाकार
चहुँ ओर
सभ्य आँखो में बचा नहीं तनिक भी पानी
लुप्त होने के कगार पर है
प्रेम और नफ़रत के बीच की नदी
कुछ समय बाद
ये होगा
कि ध्वस्त कर दिया जाएगा प्रेम
अभद्र और अशिष्ट बताकर
और उसी में दबकर
प्यासा
दम तोड़ देगा समाज
अंत हो जाएगा सभ्यता का।
jab tum mujhe gale lagate ho
us bhayanak drishya ko andekha kar
jahan chaDhi bhauhen aur tarerti ankhon se
hamein nigal jane ke liye taiyar baitha ho
sabhya samaj
tab jab di ja chuki ho mujhe
anaginat upadhiyan—
besharm behaya aur badachlan ki
us kshan tumhare alingan men
mahsus hota hai ki
pram ho sakta hai kitna prabal
in kamzoron durblon ke beech
jinhen kabhi na ho saka prem
premi se kutton se ya phulon se
so jamti gai kai
panapti gai ghrina ankhon ki kor par
aur saDati gai inhen bhitar heen bhitar
pani ki viralta se mach raha hai hahakar
chahun or
sabhya ankho mein bacha nahin tanik bhi pani
lupt hone ke kagar par hai
prem aur nafrat ke beech ki nadi
kuch samay baad
ye hoga
ki dhvast kar diya jayega prem
abhadr aur ashisht batakar
aur usi mein dabkar
pyasa
dam toD dega samaj
ant ho jayega sabhyata ka.
jab tum mujhe gale lagate ho
us bhayanak drishya ko andekha kar
jahan chaDhi bhauhen aur tarerti ankhon se
hamein nigal jane ke liye taiyar baitha ho
sabhya samaj
tab jab di ja chuki ho mujhe
anaginat upadhiyan—
besharm behaya aur badachlan ki
us kshan tumhare alingan men
mahsus hota hai ki
pram ho sakta hai kitna prabal
in kamzoron durblon ke beech
jinhen kabhi na ho saka prem
premi se kutton se ya phulon se
so jamti gai kai
panapti gai ghrina ankhon ki kor par
aur saDati gai inhen bhitar heen bhitar
pani ki viralta se mach raha hai hahakar
chahun or
sabhya ankho mein bacha nahin tanik bhi pani
lupt hone ke kagar par hai
prem aur nafrat ke beech ki nadi
kuch samay baad
ye hoga
ki dhvast kar diya jayega prem
abhadr aur ashisht batakar
aur usi mein dabkar
pyasa
dam toD dega samaj
ant ho jayega sabhyata ka.
स्रोत :
रचनाकार : अपूर्वा श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.