नींद की लहरों पर हिचकोले खाते मेरे स्वप्न में
एक बरसाती रात है
एक सुनसान गली है
और उस गली के अंतिम छोर पर है—
एक उजाड़ लैम्पपोस्ट।
नीली छतरी वाली एक लड़की अक्सर
बरसाती रात में उस लैम्पपोस्ट के नीचे आती है
और सुनसान गली में बिछ जाता है उसके प्रेमी का इंतज़ार।
घरवालों के तानों से छलनी अपनी मुट्ठी में अपनी आत्मा लिए
अक्सर आता आँखों के नीचे निशानों वाला एक लड़का।
वह लैम्पपोस्ट के नीचे सिगरेट सुलगाता है
विचारों के प्रेतों के सहारे आत्महत्या की रणनीति बनाता है।
कभी-कभी जब भौंकते हैं गली के आवारा कुत्ते
ख़ून सने कपड़ों में एक शख़्स दौड़ते हुए आता है
और लैम्पपोस्ट से ख़ुद को टिका रोता है फफक-फफककर।
(ये वो है जिसने अपनी पत्नी और उसके प्रेमी की हत्या कर दी।)
मैं कहाँ हूँ?
नहीं, अपने स्वप्न में बिल्कुल नहीं।
मैं नीली छतरी वाली लड़की के इंतज़ार में हूँ,
मैं उदास लड़के के आत्महत्या की रणनीति में हूँ,
मैं ख़ून सने कपड़ों वाले क़ातिल के आँसुओं में हूँ।
आदम का वंशज मैं,
बना हूँ मानुष जोड़-जोड़कर टुकड़े सबके।
neend ki lahron par hichkole khate mere swapn mein
ek barsati raat hai
ek sunsan gali hai
aur us gali ke antim chhor par hai—
ek ujaD laimppost
nili chhatri wali ek laDki aksar
barsati raat mein us laimppost ke niche aati hai
aur sunsan gali mein bichh jata hai uske premi ka intzar
gharwalon ke tanon se chhalni apni mutthi mein apni aatma liye
aksar aata ankhon ke niche nishanon wala ek laDka
wo laimppost ke niche cigarette sulgata hai
wicharon ke preton ke sahare atmahatya ki rananiti banata hai
kabhi kabhi jab bhaunkte hain gali ke awara kutte
khoon sane kapDon mein ek shakhs dauDte hue aata hai
aur laimppost se khu ko tika rota hai phaphak phaphakkar
(ye wo hai jisne apni patni aur uske premi ki hattya kar di )
main kahan hoon?
nahin, apne swapn mein bilkul nahin
main nili chhatri wali laDki ke intzar mein hoon,
main udas laDke ke atmahatya ki rananiti mein hoon,
main khoon sane kapDon wale qatil ke ansuon mein hoon
adam ka wanshaj main,
bana hoon manush joD joDkar tukDe sabke

स्रोत :
रचनाकार : आसित आदित्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.