नमक तुम्हारे लिए स्वादिष्ट खाना बनाने वाला
पदार्थ मात्र है
तुम्हारे रसोई घर में इसकी भरमार होती है
मेरी देह के पसीने की गंध में भी तुम्हें
नमक का खारापन लगता है
मुझे चूमकर भी तुम बता सकते हो नमक का स्वाद
नमक तुम्हारे लिए उतना ही ज़रूरी होता है
जितना दाल-चावल
ठीक इसके विपरीत हमारे लिए नमक उतना ही ज़रूरी है
जितना जल, जंगल, ज़मीन
नमक हमारे लिए स्वाद बढ़ाने वाली चीज़ नहीं
बल्कि एक बहाना है तुम तक पहुँच पाने का
हमारे यहाँ नमक की खेती नहीं होती वरन उगा लेते
बोरा भर नमक धान की तरह
नमक की लत ने हमें भी व्यापार करना सिखा दिया
झोला भर टोरा, महुआ, अमचूर और चिरौंजी के बदले तुम्हारा एक सोली नमक
स्वाद बदलकर रख देता है मुँह का
तुम्हें नमक की क़ीमत का अंदाज़ा नहीं
चूँकि तुम्हारी दुनिया में नमक ही नमक है
सस्ता और सुलभ
पर हमारी पहुँच से आज भी हज़ारों किलोमीटर दूर है नमक
कि सोली भर नमक कमाने के लिए हमारे कंधे उठाते हैं
काँवड़ भर सपने
खोदते हैं पताल भर गोदी अँधेरी पगडंडियों को
पाटने के लिए
लगाते हैं मील का पत्थर
अपनी आदिम सभ्यता छुपाने के लिए
ताकि खिसक सके दो-चार किलोमीटर और
सूरज की सीध में
बावजूद नमक का स्वाद हमेशा नमकीन नहीं होता
कि नमक का स्वाद कभी-कभी पाँव के छालों की टीस जितना क़ीमती और
कभी-कभी बंदूक़ की गोली से निकलने वाले
बारूद की गंध जैसा तीखा
तो कभी-कभी आँखों की पुतलियों पर दम तोड़ चुके
कुछ सफ़ेद ख़्वाबों से भी फीका होता है
नमक की आज़ादी के लिए लड़ी गई थी एक लड़ाई
सोचती हूँ चुपके से इनके कानों में किसी ऐसी ही
लड़ाई के प्रारंभ का बिगुल फूँक दूँ क्या?
ताकि जान सकें ये भी नमक का असली स्वाद!
namak tumhare liye swadisht khana banane wala
padarth matr hai
tumhare rasoi ghar mein iski bharmar hoti hai
meri deh ke pasine ki gandh mein bhi tumhein
namak ka kharapan lagta hai
mujhe chumkar bhi tum bata sakte ho namak ka swad
namak tumhare liye utna hi zaruri hota hai
jitna dal chawal
theek iske wiprit hamare liye namak utna hi zaruri hai
jitna jal, jangal, zamin
namak hamare liye swad baDhane wali cheez nahin
balki ek bahana hai tum tak pahunch pane ka
hamare yahan namak ki kheti nahin hoti waran uga lete
bora bhar namak dhan ki tarah
namak ki lat ne hamein bhi wyapar karna sikha diya
jhola bhar tora, mahua, amchur aur chiraunji ke badle tumhara ek soli namak
swad badalkar rakh deta hai munh ka
tumhein namak ki qimat ka andaza nahin
chunki tumhari duniya mein namak hi namak hai
sasta aur sulabh
par hamari pahunch se aaj bhi hazaron kilomitar door hai namak
ki soli bhar namak kamane ke liye hamare kandhe uthate hain
kanwaD bhar sapne
khodte hain patal bhar godi andheri pagDanDiyon ko
patne ke liye
lagate hain meel ka patthar
apni aadim sabhyata chhupane ke liye
taki khisak sake do chaar kilomitar aur
suraj ki seedh mein
bawjud namak ka swad hamesha namkin nahin hota
ki namak ka swad kabhi kabhi panw ke chhalon ki tees jitna qimti aur
kabhi kabhi banduq ki goli se nikalne wale
barud ki gandh jaisa tikha
to kabhi kabhi ankhon ki putaliyon par dam toD chuke
kuch safed khwabon se bhi phika hota hai
namak ki azadi ke liye laDi gai thi ek laDai
sochti hoon chupke se inke kanon mein kisi aisi hi
laDai ke prarambh ka bigul phoonk doon kya?
taki jaan saken ye bhi namak ka asli swad!

स्रोत :
रचनाकार : पूनम वासम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.