मैं तुम्हें छूना चाहता हूँ
जैसे तुम्हें
छूता है ठंडी हवा का झोंका
और हुलास से भर उठती हो तुम।
मैं तुम्हें छूना चाहता हूँ
जैसे तुम्हें
नहाते समय छूता है पानी
और नहाकर
तुम और सुंदर हो जाती हो।
मैं तुम्हें छूना चाहता हूँ
जैसे भोर को छूती है सुनहली किरण
या जैसे तुम छूती हो अपने आपको
स्वयं पर मुग्ध होते हुए।
मैं नहीं चाहता छूना तुम्हें
जैसे तुम्हें छूता है बग़लगीर
या रास्ते की धूल
जो तुमसे चिपक जाती है
उस अनजान की तरह भी नहीं
जो कुंडली मिलने पर
छूता है तुम्हें
और बना लेता है अपनी खेती।
main tumhein chhuna chahta hoon
jaise tumhein
chhuta hai thanDi hawa ka jhonka
aur hulas se bhar uthti ho tum
main tumhein chhuna chahta hoon
jaise tumhein
nahate samay chhuta hai pani
aur nahakar
tum aur sundar ho jati ho
main tumhein chhuna chahta hoon
jaise bhor ko chhuti hai sunahli kiran
ya jaise tum chhuti ho apne aapko
swayan par mugdh hote hue
main nahin chahta chhuna tumhein
jaise tumhein chhuta hai baghalgir
ya raste ki dhool
jo tumse chipak jati hai
us anjan ki tarah bhi nahin
jo kunDli milne par
chhuta hai tumhein
aur bana leta hai apni kheti
main tumhein chhuna chahta hoon
jaise tumhein
chhuta hai thanDi hawa ka jhonka
aur hulas se bhar uthti ho tum
main tumhein chhuna chahta hoon
jaise tumhein
nahate samay chhuta hai pani
aur nahakar
tum aur sundar ho jati ho
main tumhein chhuna chahta hoon
jaise bhor ko chhuti hai sunahli kiran
ya jaise tum chhuti ho apne aapko
swayan par mugdh hote hue
main nahin chahta chhuna tumhein
jaise tumhein chhuta hai baghalgir
ya raste ki dhool
jo tumse chipak jati hai
us anjan ki tarah bhi nahin
jo kunDli milne par
chhuta hai tumhein
aur bana leta hai apni kheti
स्रोत :
पुस्तक : इतिहास में अभागे (पृष्ठ 86)
रचनाकार : दिनेश कुशवाह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.