एक दिन काट रही थी हरी सब्ज़ियाँ
उसी समय कट गए माँ के हाथ और
नाकाम हो गई उँगली
ख़ूब ख़ून बहा पट्टी बाँधने तक
कपड़े लाल हो गए माँ के
माँ रोई नहीं
दर्द से चीख़ी नहीं
वह तो सबकी भूख के बारे में सोच रही थी
कई दिनों के बाद माँ
फिर से करने लगी है काम
चूल्हा-चौका
जब छूती है नमक तो वह स्वाद के बारे में सोचती है
मैं सिहर जाता हूँ सोचकर कि
कटे पर नमक पड़ने से कितनी तकलीफ़ होती होगी उसे
माँ इस सबसे बेफ़िक्र अपने काम में लगी रहती है
वह फिर काट रही है हरी सब्ज़ियाँ
वैसे ही रसोई में
और चाक़ू में भी वही धार है।
ek din kat rahi thi hari sabziyan
usi samay kat gaye man ke hath aur
nakam ho gai ungli
khoob khoon baha patti bandhne tak
kapDe lal ho gaye man ke
man roi nahin
dard se chikhi nahin
wo to sabki bhookh ke bare mein soch rahi thi
kai dinon ke baad man
phir se karne lagi hai kaam
chulha chauka
jab chhuti hai namak to wo swad ke bare mein sochti hai
main sihar jata hoon sochkar ki
kate par namak paDne se kitni taklif hoti hogi use
man is sabse befir apne kaam mein lagi rahti hai
wo phir kat rahi hai hari sabziyan
waise hi rasoi mein
aur chaqu mein bhi wahi dhaar hai
ek din kat rahi thi hari sabziyan
usi samay kat gaye man ke hath aur
nakam ho gai ungli
khoob khoon baha patti bandhne tak
kapDe lal ho gaye man ke
man roi nahin
dard se chikhi nahin
wo to sabki bhookh ke bare mein soch rahi thi
kai dinon ke baad man
phir se karne lagi hai kaam
chulha chauka
jab chhuti hai namak to wo swad ke bare mein sochti hai
main sihar jata hoon sochkar ki
kate par namak paDne se kitni taklif hoti hogi use
man is sabse befir apne kaam mein lagi rahti hai
wo phir kat rahi hai hari sabziyan
waise hi rasoi mein
aur chaqu mein bhi wahi dhaar hai
स्रोत :
रचनाकार : शंकरानंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.