दुकान दर दुकान
छूट के प्रतिशत की गुहार लेकर
पूरी साँझ दौड़ कर जुटाई रसद
मुझे झोले के फटने का डर रहता था
बाज़ार के उठ जाने का
या सस्ती तरकारी के न मिल पाने का
मैं अपने बच्चों को घर में बंद कर
उत्साह से फूलता हुआ
छज्जे से देखता था रैलियाँ
मुझे खिड़की के काँच फूटने का डर रहता था
बसवालों के हड़ताल करने का
या जूतों के तल्ले घिस जाने का
मेरी हड्डियाँ पतली थीं
नहीं जुट पाई क्रांति भर हिम्मत
नहीं आया इतना क्रोध
कि मुट्ठी भींच कर कुछ गढ़ तोड़ दूँ
शांति में भी रहा मुझे हिंसा का भय
भयाक्रांत ही मैंने प्रेम किया और उसी में पड़ा रहा।
dukan dar dukan
chhoot ke pratishat ki guhar lekar
puri sanjh dauD kar jutai rasad
mujhe jhole ke phatne ka Dar rahta tha
bazar ke uth jane ka
ya sasti tarkari ke na mil pane ka
main apne bachchon ko ghar mein band kar
utsah se phulta hua
chhajje se dekhta tha railiyan
mujhe khiDki ke kanch phutne ka Dar rahta tha
baswalon ke haDtal karne ka
ya juton ke talle ghis jane ka
meri haDDiyan patli theen
nahin jut pai kranti bhar himmat
nahin aaya itna krodh
ki mutthi bheench kar kuch gaDh toD doon
shanti mein bhi raha mujhe hinsa ka bhay
bhayakrant hi mainne prem kiya aur usi mein paDa raha
dukan dar dukan
chhoot ke pratishat ki guhar lekar
puri sanjh dauD kar jutai rasad
mujhe jhole ke phatne ka Dar rahta tha
bazar ke uth jane ka
ya sasti tarkari ke na mil pane ka
main apne bachchon ko ghar mein band kar
utsah se phulta hua
chhajje se dekhta tha railiyan
mujhe khiDki ke kanch phutne ka Dar rahta tha
baswalon ke haDtal karne ka
ya juton ke talle ghis jane ka
meri haDDiyan patli theen
nahin jut pai kranti bhar himmat
nahin aaya itna krodh
ki mutthi bheench kar kuch gaDh toD doon
shanti mein bhi raha mujhe hinsa ka bhay
bhayakrant hi mainne prem kiya aur usi mein paDa raha
स्रोत :
रचनाकार : अमित तिवारी
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.