नौकरियों और तबादलों के बहुत से
क़िस्से हैं, सुने होंगे आपने थी
कौन किसलिए हटा, हटाया गया
कई मज़ेदार हैं, कई ऐसे भी कि
बस इतने भर से चली गई
उसकी नौकरी,
जानकर अचरज हो।
क़िस्से कई ये भी हैं
कि कैसे लगी किसी की नौकरी—
किसकी ख़ुशामद से, किसकी
पहुँच से—
कई है संयोग के भी कि
अमुक को तो बैठे-ठाले ही
मिल गई नौकरी!
पर इन क़िस्सों में कम ही
होता है ज़िक्र उनका
भटकते हैं जो न जाने कहाँ-कहाँ
तलाश में
नौकरी की।
दरअसल, वे होते नहीं
इतने दिलचस्प।
और उनके ज़िक्र से
तो चुप्पी छा जाती है
जो छोड़ देते हैं नौकरी—
सचमुच यह जानते-बूझते-बहस करते
कि उन्हें जल्दी से
मिलने वाली नहीं
है फिर नौकरी!
naukariyon aur tabadlon ke bahut se
qisse hain, sune honge aapne thi
kaun kisaliye hata, hataya gaya
kai mazedar hain, kai aise bhi ki
bus itne bhar se chali gai
uski naukari,
jankar achraj ho
qisse kai ye bhi hain
ki kaise lagi kisi ki naukari—
kiski khushamad se, kiski
pahunch se—
kai hai sanyog ke bhi ki
amuk ko to baithe thale hi
mil gai naukari!
par in qisson mein kam hi
hota hai zikr unka
bhatakte hain jo na jane kahan kahan
talash mein
naukari ki
darasal, we hote nahin
itne dilchasp
aur unke zikr se
to chuppi chha jati hai
jo chhoD dete hain naukari—
sachmuch ye jante bujhte bahs karte
ki unhen jaldi se
milne wali nahin
hai phir naukari!
naukariyon aur tabadlon ke bahut se
qisse hain, sune honge aapne thi
kaun kisaliye hata, hataya gaya
kai mazedar hain, kai aise bhi ki
bus itne bhar se chali gai
uski naukari,
jankar achraj ho
qisse kai ye bhi hain
ki kaise lagi kisi ki naukari—
kiski khushamad se, kiski
pahunch se—
kai hai sanyog ke bhi ki
amuk ko to baithe thale hi
mil gai naukari!
par in qisson mein kam hi
hota hai zikr unka
bhatakte hain jo na jane kahan kahan
talash mein
naukari ki
darasal, we hote nahin
itne dilchasp
aur unke zikr se
to chuppi chha jati hai
jo chhoD dete hain naukari—
sachmuch ye jante bujhte bahs karte
ki unhen jaldi se
milne wali nahin
hai phir naukari!
स्रोत :
पुस्तक : बीते कितने बरस (पृष्ठ 53)
रचनाकार : प्रयाग शुक्ल
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.