मेरे पास एक फूल
जो दिखता नहीं है
फूल तुम्हारे लिए।
क्या तुम्हें पता है! कि मैं हूँ
दिखता हूँ कभी!
जहाँ भी तुम हो ख़ुद को मैं दिखता हूँ लगातार
तुम अगर सो रही हो
तो तुम्हारे सपने की सड़क पर
पेड़ के पीछे अँधेरे में खड़ा सिगरेट पीता हुआ।
तुम अगर खिड़की से बारिश देख रही हो
तो दूर सूनी पुलिया पर
भीगता हुआ धुँधला अकेला।
तुम्हारे ख़यालों के इतना बाहर
कि उनके एकदम पास
उन्हें छूता हुआ बादल का टुकड़ा।
तुम्हारी उँगलियों
तुम्हारी साँसों के इस संसार में
धड़कता हुआ थोड़ा-सा समय।
तुम्हारी खिड़की के काँच पर
रात भर
ओस की तरह गिरता हुआ।
यही मेरा सुख यही दुख मेरा
कि इतनी बड़ी दुनिया में कहीं और नहीं
मैं रहा यहाँ जहाँ तुम हो तुम हो
यही मेरा सुख यही दुख मेरा
कि मेरे पास एक फूल
फूल तुम्हारे लिए
जिसे मैं वापस ले जाऊँगा।
mere pas ek phool
jo dikhta nahin hai
phool tumhare liye
kya tumhein pata hai! ki main hoon
dikhta hoon kabhi!
jahan bhi tum ho khu ko main dikhta hoon lagatar
tum agar so rahi ho
to tumhare sapne ki saDak par
peD ke pichhe andhere mein khaDa cigarette pita hua
tum agar khiDki se barish dekh rahi ho
to door suni puliya par
bhigta hua dhundhla akela
tumhare khayalon ke itna bahar
ki unke ekdam pas
unhen chhuta hua badal ka tukDa
tumhari ungliyon
tumhari sanson ke is sansar mein
dhaDakta hua thoDa sa samay
tumhari khiDki ke kanch par
raat bhar
os ki tarah girta hua
yahi mera sukh yahi dukh mera
ki itni baDi duniya mein kahin aur nahin
main raha yahan jahan tum ho tum ho
yahi mera sukh yahi dukh mera
ki mere pas ek phool
phool tumhare liye
jise main wapas le jaunga
mere pas ek phool
jo dikhta nahin hai
phool tumhare liye
kya tumhein pata hai! ki main hoon
dikhta hoon kabhi!
jahan bhi tum ho khu ko main dikhta hoon lagatar
tum agar so rahi ho
to tumhare sapne ki saDak par
peD ke pichhe andhere mein khaDa cigarette pita hua
tum agar khiDki se barish dekh rahi ho
to door suni puliya par
bhigta hua dhundhla akela
tumhare khayalon ke itna bahar
ki unke ekdam pas
unhen chhuta hua badal ka tukDa
tumhari ungliyon
tumhari sanson ke is sansar mein
dhaDakta hua thoDa sa samay
tumhari khiDki ke kanch par
raat bhar
os ki tarah girta hua
yahi mera sukh yahi dukh mera
ki itni baDi duniya mein kahin aur nahin
main raha yahan jahan tum ho tum ho
yahi mera sukh yahi dukh mera
ki mere pas ek phool
phool tumhare liye
jise main wapas le jaunga
स्रोत :
पुस्तक : हर घर से ग़ायब (पृष्ठ 59)
रचनाकार : नवीन सागर
प्रकाशन : सूर्य प्रकाशन मंदिर
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.