अभी मैं आदमियों को शुक्रिया कह रहा हूँ लेकिन
एक दिन मैं ईश्वर को धन्यवाद देने उनके घर तक जाऊँगा
ईश्वर न होते तो कई बच्चे जन्मते
और मर जाते
मैं उन्हें धन्यवाद दूँगा कि उन्होंने
स्त्रियों को स्तन दिए
स्तन में दूध भरे
और शिशु को चूसने का हुनर देकर यहाँ तक भेजा
माँ के पास दूध नहीं होता तो क्या होता
मैं जब भी यह कल्पना करता हूँ
मेरे रोंगटे खड़े हो जाते हैं
मैं देखता हूँ कि बच्चे बिलख रहे हैं
मैं देखता हूँ कि उसके आगे बासी भात बिखरा हुआ है
या रोटी के एक टुकड़े को वह कुतर रहा है
जिसमें सिर्फ़ नमक लगा होता है
आदमी ने मरने से बचाने के लिए औषधियाँ बनाईं
लेकिन आदमी ने बाद में सिक्कों का प्रचलन भी शुरू कर दिया
आदमी दूध नहीं बना सका
ईश्वर ने दूध दिया
माँ को
और सिर्फ़ उन पशुओं को
जो जन्म दे सकती हैं
ईश्वर ने जब भी जन्म दिया
तुरंत दूध भी दिया
मैं उन्हें इसके लिए धन्यवाद देने जाऊँगा।
abhi main adamiyon ko shukriya kah raha hoon lekin
ek din main ishwar ko dhanyawad dene unke ghar tak jaunga
ishwar na hote to kai bachche janmte
aur mar jate
main unhen dhanyawad dunga ki unhonne
striyon ko stan diye
stan mein doodh bhare
aur shishu ko chusne ka hunar dekar yahan tak bheja
man ke pas doodh nahin hota to kya hota
main jab bhi ye kalpana karta hoon
mere rongte khaDe ho jate hain
main dekhta hoon ki bachche bilakh rahe hain
main dekhta hoon ki uske aage basi bhat bikhra hua hai
ya roti ke ek tukDe ko wo kutar raha hai
jismen sirf namak laga hota hai
adami ne marne se bachane ke liye aushadhiyan banain
lekin adami ne baad mein sikkon ka prachalan bhi shuru kar diya
adami doodh nahin bana saka
ishwar ne doodh diya
man ko
aur sirf un pashuon ko
jo janm de sakti hain
ishwar ne jab bhi janm diya
turant doodh bhi diya
main unhen iske liye dhanyawad dene jaunga

स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश कुमार राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.