मेरे कंधों पर कंबल और हाथ में बाँसुरी थी
मैं सोया भी नहीं, कहीं गया भी नहीं
लेकिन मेरे हाथ में बंदूक़
और कंधे पर लाश कौन धर गया?
मैंने तो ज़मीन के ठीक नीचे
गुरुओं की वाणी और कृष्ण की गीता
बोई थी, यह आग के बीज
और नफ़रत की फ़सल कैसे उगी है?
“एक-एक करके मैं अपने तमाम झरोखे
बंद कर रहा हूँ
मैं रो रहा हूँ, मैं अकेला हूँ—बूढ़ा हूँ
तुम मेरा शरीर बेच लो
मेरे पहाड़-दरिया-गेहूँ-शहर
सब कुछ बेचो
मेरी आत्मा को नेजों से मत बींधों
मेरे बच्चो।
तुम मुझे पागल न करो, मेरी बात सुनो
देखो नानक, बुल्ला, फ़रीद, कबीर, वारिस
सब मातम पर बैठे हैं
भाई कन्हैया हाथ जोड़कर खड़ा है दरबार में
मैं किसे मरहम लगाऊँ
और मेरा गुरु आँखों से बह रहे
पानी के साथ उन सिरों को देख रहा है
जो उन्होंने मेरे दरबार में चाहे थे
और उन्हें वह लौटा नहीं सकता
धरती का कोई धर्म नहीं होता
मेरा भी नहीं है।
तुम किस ईश्वर के लिए
मेरा गला काट रहे हो?
किस ख़ुशबू के लिए,
फूलों को जलते तवे पर
भून रहे हो?
मैंने जो आग अल्लाह के दरबार से
तुम्हारे लिए चुराई थी
उसी से तुम आज मुझे जला रहे हो
मैं मर जाऊँ, कोई ग़म नहीं मुझे
लेकिन अन्न खाने वालो
तुम्हारे बच्चों पर यह इल्ज़ाम लगे
कि वे ईश्वर हत्यारे हैं
मैं सहन नहीं कर पाऊँगा।
mere kandhon par kambal aur hath mein bansuri thi
main soya bhi nahin, kahin gaya bhi nahin
lekin mere hath mein banduq
aur kandhe par lash kaun dhar gaya?
mainne to zamin ke theek niche
guruon ki wani aur krishn ki gita
boi thi, ye aag ke beej
aur nafar ki fasal kaise ugi hai?
“ek ek karke main apne tamam jharokhe
band kar raha hoon
main ro raha hoon, main akela hun—buDha hoon
tum mera sharir bech lo
mere pahaD dariya gehun shahr
sab kuch becho
meri aatma ko nejon se mat bindhon
mere bachcho
tum mujhe pagal na karo, meri baat suno
dekho nanak, bulla, fari, kabir, waris
sab matam par baithe hain
bhai kanhayya hath joDkar khaDa hai darbar
main kise marham lagaun
aur mera guru ankhon se bah rahe
pani ke sath un siron ko dekh raha hai
jo unhonne mere darbar mein chahe the
aur unhen wo lauta nahin sakta
dharti ka koi dharm nahin hota
mera bhi nahin hai
tum kis ishwar ke liye
mera gala kat rahe ho?
kis khushbu ke liye,
phulon ko jalte tawe par
bhoon rahe ho?
mainne jo aag allah ke darbar se
tumhare liye churai thi
usi se tum aaj mujhe jala rahe ho
main mar jaun, koi gham nahin mujhe
lekin ann khane walo
tumhare bachchon par ye ilzam lage
ki we ishwar hatyare hain
main sahn nahin kar paunga
mere kandhon par kambal aur hath mein bansuri thi
main soya bhi nahin, kahin gaya bhi nahin
lekin mere hath mein banduq
aur kandhe par lash kaun dhar gaya?
mainne to zamin ke theek niche
guruon ki wani aur krishn ki gita
boi thi, ye aag ke beej
aur nafar ki fasal kaise ugi hai?
“ek ek karke main apne tamam jharokhe
band kar raha hoon
main ro raha hoon, main akela hun—buDha hoon
tum mera sharir bech lo
mere pahaD dariya gehun shahr
sab kuch becho
meri aatma ko nejon se mat bindhon
mere bachcho
tum mujhe pagal na karo, meri baat suno
dekho nanak, bulla, fari, kabir, waris
sab matam par baithe hain
bhai kanhayya hath joDkar khaDa hai darbar
main kise marham lagaun
aur mera guru ankhon se bah rahe
pani ke sath un siron ko dekh raha hai
jo unhonne mere darbar mein chahe the
aur unhen wo lauta nahin sakta
dharti ka koi dharm nahin hota
mera bhi nahin hai
tum kis ishwar ke liye
mera gala kat rahe ho?
kis khushbu ke liye,
phulon ko jalte tawe par
bhoon rahe ho?
mainne jo aag allah ke darbar se
tumhare liye churai thi
usi se tum aaj mujhe jala rahe ho
main mar jaun, koi gham nahin mujhe
lekin ann khane walo
tumhare bachchon par ye ilzam lage
ki we ishwar hatyare hain
main sahn nahin kar paunga
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 243)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.