...और कुछ तारीख़ें मरती नहीं
बस पड़ी रहती हैं
कैलेंडर के किसी कोने में
दीवार से टेक लगाए
बिल्कुल अधमरी स्थिति में...
न कोई हलचल,
न ही संचार,
बस साँसें मात्र ही चलती हैं!
टूट-टूटकर आती
इन साँसों के सहारे ही
हर साल ये तारीख़ें
खड़ी हो जाती हैं...
काँपते पैरों से,
लड़खड़ाते हुए
चली आती हैं सामने
तय समय पर
लेकर अपने साथ
कुछ दफ़न यादें
जिन्हें बाहर देख क़ब्र के
कोसा जाता है इन तारीख़ों को
ये तारीख़ें लेकर बद्दुआएँ
लौट जाती हैं
कैलेंडर के उसी कोने में
जहाँ बेबस आँखों से
देखती रहती हैं एकटक
दरवाज़े की तरफ़
एक आस लिए
कि किसी रोज़ उन्हें फिर से
सराहा जाएगा
पहले की तरह
और यही उम्मीद,
यही कमबख़्त उम्मीद
इन तारीख़ों को मरने तक नहीं देती!
aur kuch tarikhen marti nahin
bus paDi rahti hain
kailenDar ke kisi kone mein
diwar se tek lagaye
bilkul adhamri sthiti mein
na koi halchal,
na hi sanchar,
bus sansen matr hi chalti hain!
toot tutkar aati
in sanson ke sahare hi
har sal ye tarikhen
khaDi ho jati hain
kanpte pairon se,
laDkhaDate hue
chali aati hain samne
tay samay par
lekar apne sath
kuch dafan yaden
jinhen bahar dekh qabr ke
kosa jata hai in tarikhon ko
ye tarikhen lekar badduaen
laut jati hain
kailenDar ke usi kone mein
jahan bebas ankhon se
dekhti rahti hain ektak
darwaze ki taraf
ek aas liye
ki kisi roz unhen phir se
saraha jayega
pahle ki tarah
aur yahi ummid,
yahi kambakht ummid
in tarikhon ko marne tak nahin deti!
aur kuch tarikhen marti nahin
bus paDi rahti hain
kailenDar ke kisi kone mein
diwar se tek lagaye
bilkul adhamri sthiti mein
na koi halchal,
na hi sanchar,
bus sansen matr hi chalti hain!
toot tutkar aati
in sanson ke sahare hi
har sal ye tarikhen
khaDi ho jati hain
kanpte pairon se,
laDkhaDate hue
chali aati hain samne
tay samay par
lekar apne sath
kuch dafan yaden
jinhen bahar dekh qabr ke
kosa jata hai in tarikhon ko
ye tarikhen lekar badduaen
laut jati hain
kailenDar ke usi kone mein
jahan bebas ankhon se
dekhti rahti hain ektak
darwaze ki taraf
ek aas liye
ki kisi roz unhen phir se
saraha jayega
pahle ki tarah
aur yahi ummid,
yahi kambakht ummid
in tarikhon ko marne tak nahin deti!
स्रोत :
रचनाकार : कृतिका किरण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.