किताबें खींचती थी मुझे
बचपन से
एक दिन
एक कनस्तर के नीचे रखी
सील के भी
नीचे रखी किताब
हल्की-सी दिख गई
सावधानी से निकाल
अभी पढ़ना शुरू किया था
कि ग़ुस्से में माँ चिल्लाई
कहाँ से मिल गई तुम्हें ये किताब?
क्यों निकाली?
कहाँ हैं इसमें से निकला ताबीज़?
इतनी छुपा कर रखी किताब
दिखी कैसे तुम्हें?
इतने सवाल सुनकर
घबरा-सी गई
तब तक माँ को मिल गया
ज़मीन पर गिरा ताबीज़
किताब छीन फिर रखा
उसमें ताबीज़ और
फिर दबा दिया उसी तरह
दीदी की शादी जल्दी तय होने के लिए
किसी पंडित जी ने यह उपाय बताया था
सहमकर बैठी मुझे हँसाने के लिए
दीदी ने कहा—
अच्छा किया निकाल दिया ताबीज़
शायद मुझे इसीलिए पेट में
कई दिन से दर्द हो रहा था
लड़कियाँ इसी तरह दबाई जाती हैं
सील के नीचे, विवाह के लिए
और विवाह के बाद भी
बाप के सीने पर
पत्थर की तरह पड़ी बेटियाँ
चाहती हैं जल्दी से जल्दी
मुक्त कर देना पिता को
अपने कलेजे पर पत्थर रख
ख़ुश दिखना चाहती बेटियाँ
पत्थर होने तक।
kitaben khinchti thi mujhe
bachpan se
ek din
ek kanastar ke niche rakhi
seel ke bhi
niche rakhi kitab
halki si dikh gai
savadhani se nikal
abhi paDhna shuru kiya tha
ki gusse mein maan chillai
kahan se mil gai tumhein ye kitab?
kyon nikali?
kahan hain ismen se nikla tabiz?
itni chhupa kar rakhi kitab
dikhi kaise tumhen?
itne saval sunkar
ghabra si gai
tab tak maan ko mil gaya
zamin par gira tabiz
kitab chheen phir rakha
usmen tabiz aur
phir daba diya usi tarah
didi ki shadi jaldi tay hone ke liye
kisi panDit ji ne ye upaay bataya tha
saham ke baithi mujhe hansane ke liye
didi ne kaha—achchha kiya nikal diya tabiz
shayad mujhe isiliye pet mein
kai din se dard ho raha tha
laDkiyan isi tarah dabai jati hain
seel ke niche, vivah ke liye
aur vivah ke baad bhi
baap ke sine par
patthar ki tarah paDi betiyan
chahti hain jaldi se jaldi
mukt kar dena pita ko
apne kaleje par patthar rakh
khush dikhna chahti betiyan
patthar hone tak.
kitaben khinchti thi mujhe
bachpan se
ek din
ek kanastar ke niche rakhi
seel ke bhi
niche rakhi kitab
halki si dikh gai
savadhani se nikal
abhi paDhna shuru kiya tha
ki gusse mein maan chillai
kahan se mil gai tumhein ye kitab?
kyon nikali?
kahan hain ismen se nikla tabiz?
itni chhupa kar rakhi kitab
dikhi kaise tumhen?
itne saval sunkar
ghabra si gai
tab tak maan ko mil gaya
zamin par gira tabiz
kitab chheen phir rakha
usmen tabiz aur
phir daba diya usi tarah
didi ki shadi jaldi tay hone ke liye
kisi panDit ji ne ye upaay bataya tha
saham ke baithi mujhe hansane ke liye
didi ne kaha—achchha kiya nikal diya tabiz
shayad mujhe isiliye pet mein
kai din se dard ho raha tha
laDkiyan isi tarah dabai jati hain
seel ke niche, vivah ke liye
aur vivah ke baad bhi
baap ke sine par
patthar ki tarah paDi betiyan
chahti hain jaldi se jaldi
mukt kar dena pita ko
apne kaleje par patthar rakh
khush dikhna chahti betiyan
patthar hone tak.
स्रोत :
रचनाकार : वंदना मिश्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.