प्रत्युत्तर पाने में असफल प्रेम-पत्र सा
जीवन परेशान है
इस काम-यात्रा का व्यवस्थापक
(आलोचना से डर कर शायद)
कहीं मुँह छुपाए पड़ा है
छह फुट लंबाई तक बढ़ा
अहंकार है यह तन
कोयल बन वृक्षों की ऊँची डालियों पर बैठ
(ज़मीन के भोग से अतृप्त)
कामनाएँ पंचम स्वर में कूक रही हैं
अनुभवों के निशानों के मिटने पर वृद्ध की
(चलताऊ) आत्मकथा सदृश
जीवन अंधकारमय है
पिछले किए पापों की यादें
(लोक निंदा से डर कर शायद )
अंदर ही छिप गई हैं
आँखें सिर पर चढ़ जाने के कारण, मस्त हाथी-सा
तन अभिमान का आकार बना है
आशाएँ आकाश की सीमा-रेखाओं को पार कर
(उन ऊँचाइयों से विरत हो शायद)
असंतृप्ति के गीतों को आलाप रही हैं
प्रकाश तो मुझसे डर पास नहीं फटकता
निशा में मैंने क्या किया है, याद में नहीं उतरता!
शाखोपशाखाओं में बढ़कर
सर्वाशाओं को आक्रमित करने वाले
इस महा वृक्ष की छाया में
तनिक विश्राम के लिए
रंचक थल नहीं मिलेगा क्या!
जन्म भार बनेगा क्या?
pratyuttar pane mein asaphal prem patr sa
jiwan pareshan hai
is kaam yatra ka wyawasthapak
(alochana se Dar kar shayad)
kahin munh chhupaye paDa hai
chhah phut lambai tak baDha
ahankar hai ye tan
koel ban wrikshon ki unchi Daliyon par baith
(zamin ke bhog se atrpt)
kamnayen pancham swar mein kook rahi hai
anubhwon ke nishanon ke mitne par wriddh ki
(chaltau) atmaktha sadrish
jiwan andhkarmay hai
pichhle kiye papon ki yaden
(lok ninda se Dar kar shayad )
andar hi chhip gayi hai
ankhen sir par chaDh jane ke karan, mast hathi sa
tan abhiman ka akar bana hai
ashayen akash ki sima rekhaon ko par kar
(un unchaiyon se wirat ho shayad)
asantripti ke giton ko alap rahi hain
parkash to mujhse Dar pas nahin phatakta
nisha mein mainne kya kiya hai, yaad mein nahin utarta!
shakhopshakhaon mein baDhkar
sarwshaon ko akramit karne wale
is maha wriksh ki chhaya mein
tanik wishram ke liye
ranchak thal nahin milega kya!
janm bhaar banega kya?
pratyuttar pane mein asaphal prem patr sa
jiwan pareshan hai
is kaam yatra ka wyawasthapak
(alochana se Dar kar shayad)
kahin munh chhupaye paDa hai
chhah phut lambai tak baDha
ahankar hai ye tan
koel ban wrikshon ki unchi Daliyon par baith
(zamin ke bhog se atrpt)
kamnayen pancham swar mein kook rahi hai
anubhwon ke nishanon ke mitne par wriddh ki
(chaltau) atmaktha sadrish
jiwan andhkarmay hai
pichhle kiye papon ki yaden
(lok ninda se Dar kar shayad )
andar hi chhip gayi hai
ankhen sir par chaDh jane ke karan, mast hathi sa
tan abhiman ka akar bana hai
ashayen akash ki sima rekhaon ko par kar
(un unchaiyon se wirat ho shayad)
asantripti ke giton ko alap rahi hain
parkash to mujhse Dar pas nahin phatakta
nisha mein mainne kya kiya hai, yaad mein nahin utarta!
shakhopshakhaon mein baDhkar
sarwshaon ko akramit karne wale
is maha wriksh ki chhaya mein
tanik wishram ke liye
ranchak thal nahin milega kya!
janm bhaar banega kya?
स्रोत :
पुस्तक : शब्द से शताब्दी तक (पृष्ठ 64)
संपादक : माधवराव
रचनाकार : कुंदुर्ति आंजनेयलू
प्रकाशन : आंध्र प्रदेश हिंदी अकादमी
संस्करण : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.