यह कितना अच्छा है कि
इस देश के किसान अख़बार नहीं पढ़ा करते
नहीं तो वे जान जाते
अपनी आत्महत्या की ख़बरें
और कम हो जाती उनकी फ़सल पैदा करने की ललक
वे जान जाते
अनाज के दानों की सौंधी गंध का
उन तक नहीं पहुँच पाने के पीछे का राज़
और कम हो जाती उनकी जिजीविषा
इतिहास में यह समय
जितना विकास के लिए दर्ज होगा
उससे अधिक होगा अपनी विडंबनाओं के लिए
और जब बारी उन विडंबनाओं की पड़ताल की जाएगी
तब जो सबसे ऊपर आएगा, उसमें होंगी
अख़बार में छपी किसानों की आत्महत्या की ख़बरें
और यह कृषिप्रधान देश
उनकी आत्महत्या की ख़बरें
गूँजती हैं सत्ता के गलियारों में
और निर्धारित करती हैं सरकार का बनना और बिगड़ना
और फिर ख़बर बनकर चिपक जाती हैं
सुबह-सुबह अख़बार के पन्नों पर
जिन अख़बार के पन्नों पर ले जाते हैं अपने खेत पर वे कीटनाशक
ताकि लहलहा सके उनकी पैदावार
किसान नहीं जानता है
पौधे जितने ही लहलहाएँगे
मंडी में कम होंगी उतनी ही दरें
और बढ़ेंगी उतनी ही आत्महत्याएँ
किसान सोचता है क्या कोई कीटनाशक ऐसा नहीं जो
मार सके समाज के मुनाफ़ाख़ोरों को
और जो दिला सके मंडी में उन्हें उचित क़ीमत
किसान ज्यों ही ख़त्म करता है कीटनाशक
अख़बार के उन पन्नों से झाँकने लगती हैं
दो बच्चियों के साथ उनकी विवश माँ की ताज़ा तस्वीर
जिसे खींचा गया है
उस किसान की आत्महत्या के उपरांत
आज जब इस देश में
पूँजी को आवारा बनाने की पुरज़ोर कोशिश है
तब यह सच एक ऐसा सच है
जिसे जान लेना बहुत ही सरल है
लेकिन ख़बर जिनसे बनती हैं
अक्सर उन तक पहुँचने से उन्हें रोका जाता है
हम यह जानते हैं कि
उनकी आत्महत्या की ख़बरें उन तक नहीं पहुँचकर
अनाज उत्पादन के मद्देनज़र
इस देश के हित में है
हम यह सोचते हैं कि
या तो यह अच्छा है कि
किसान अख़बार पढ़ना नहीं जानते
या फिर यह अच्छा है कि
नहीं हो अख़बार में उनकी आत्महत्या की ख़बरें
परंतु क्या फ़र्क़ ही पड़ जाता जो
इस देश के किसान अख़बार पढ़ना जानते
और क्या फ़र्क़ पड़ जाता
जो उसमें होती उनकी आत्महत्याओं की ख़बर के बदले
बजट की घोषणाएँ
और दिए गए होते उनमें किसानों के लिए विशेष पैकेज।
ye kitna achchha hai ki
is desh ke kisan akhbar nahin paDha karte
nahin to we jaan jate
apni atmahatya ki khabren
aur kam ho jati unki fasal paida karne ki lalak
we jaan jate
anaj ke danon ki saundhi gandh ka
un tak nahin pahunch pane ke pichhe ka raaz
aur kam ho jati unki jijiwisha
itihas mein ye samay
jitna wikas ke liye darj hoga
usse adhik hoga apni wiDambnaon ke liye
aur jab bari un wiDambnaon ki paDtal ki jayegi
tab jo sabse upar ayega, usmen hongi
akhbar mein chhapi kisanon ki atmahatya ki khabren
aur ye krishiprdhan desh
unki atmahatya ki khabren
gunjti hain satta ke galiyaron mein
aur nirdharit karti hain sarkar ka banna aur bigaDna
aur phir khabar bankar chipak jati hain
subah subah akhbar ke pannon par
jin akhbar ke pannon par le jate hain apne khet par we kitanashak
taki lahlaha sake unki paidawar
kisan nahin janta hai
paudhe jitne hi lahalhayenge
manDi mein kam hongi utni hi daren
aur baDhengi utni hi atmhatyayen
kisan sochta hai kya koi kitanashak aisa nahin jo
mar sake samaj ke munafakhoron ko
aur jo dila sake manDi mein unhen uchit qimat
kisan jyon hi khatm karta hai kitanashak
akhbar ke un pannon se jhankne lagti hain
do bachchiyon ke sath unki wiwash man ki taza taswir
jise khincha gaya hai
us kisan ki atmahatya ke uprant
aj jab is desh mein
punji ko awara banane ki purazor koshish hai
tab ye sach ek aisa sach hai
jise jaan lena bahut hi saral hai
lekin khabar jinse banti hain
aksar un tak pahunchne se unhen roka jata hai
hum ye jante hain ki
unki atmahatya ki khabren un tak nahin pahunchakar
anaj utpadan ke maddenzar
is desh ke hit mein hai
hum ye sochte hain ki
ya to ye achchha hai ki
kisan akhbar paDhna nahin jante
ya phir ye achchha hai ki
nahin ho akhbar mein unki atmahatya ki khabren
parantu kya farq hi paD jata jo
is desh ke kisan akhbar paDhna jante
aur kya farq paD jata
jo usmen hoti unki atmhatyaon ki khabar ke badle
budget ki ghoshnayen
aur diye gaye hote unmen kisanon ke liye wishesh package
ye kitna achchha hai ki
is desh ke kisan akhbar nahin paDha karte
nahin to we jaan jate
apni atmahatya ki khabren
aur kam ho jati unki fasal paida karne ki lalak
we jaan jate
anaj ke danon ki saundhi gandh ka
un tak nahin pahunch pane ke pichhe ka raaz
aur kam ho jati unki jijiwisha
itihas mein ye samay
jitna wikas ke liye darj hoga
usse adhik hoga apni wiDambnaon ke liye
aur jab bari un wiDambnaon ki paDtal ki jayegi
tab jo sabse upar ayega, usmen hongi
akhbar mein chhapi kisanon ki atmahatya ki khabren
aur ye krishiprdhan desh
unki atmahatya ki khabren
gunjti hain satta ke galiyaron mein
aur nirdharit karti hain sarkar ka banna aur bigaDna
aur phir khabar bankar chipak jati hain
subah subah akhbar ke pannon par
jin akhbar ke pannon par le jate hain apne khet par we kitanashak
taki lahlaha sake unki paidawar
kisan nahin janta hai
paudhe jitne hi lahalhayenge
manDi mein kam hongi utni hi daren
aur baDhengi utni hi atmhatyayen
kisan sochta hai kya koi kitanashak aisa nahin jo
mar sake samaj ke munafakhoron ko
aur jo dila sake manDi mein unhen uchit qimat
kisan jyon hi khatm karta hai kitanashak
akhbar ke un pannon se jhankne lagti hain
do bachchiyon ke sath unki wiwash man ki taza taswir
jise khincha gaya hai
us kisan ki atmahatya ke uprant
aj jab is desh mein
punji ko awara banane ki purazor koshish hai
tab ye sach ek aisa sach hai
jise jaan lena bahut hi saral hai
lekin khabar jinse banti hain
aksar un tak pahunchne se unhen roka jata hai
hum ye jante hain ki
unki atmahatya ki khabren un tak nahin pahunchakar
anaj utpadan ke maddenzar
is desh ke hit mein hai
hum ye sochte hain ki
ya to ye achchha hai ki
kisan akhbar paDhna nahin jante
ya phir ye achchha hai ki
nahin ho akhbar mein unki atmahatya ki khabren
parantu kya farq hi paD jata jo
is desh ke kisan akhbar paDhna jante
aur kya farq paD jata
jo usmen hoti unki atmhatyaon ki khabar ke badle
budget ki ghoshnayen
aur diye gaye hote unmen kisanon ke liye wishesh package
स्रोत :
रचनाकार : उमाशंकर चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.