अब उसे आत्महत्या के ख़याल नहीं आते
यह किसी गुज़रे ज़माने की बात रही होगी
ठीक वैसे ही
जैसे ज़िंदगी के एक दौर में
ख़्वाब नहीं आते
नींद नहीं आती
मुस्कान भी नहीं…
वह एक ज़िंदगी से भरपूर लड़की थी
वह हो जाती थी छोटी-छोटी बातों में ख़ुश
वे कहते रहे—
वह किसी दिन भाग जाएगी घर से
वे कभी जान ही नहीं पाए
कि उसे सिर्फ़ भागना ही नहीं आया
वह सिर्फ़ इतनी ख़ुशक़िस्मत रही
कि प्रेम में रही
लेकिन इतनी भी नहीं
कि कोई कसकर किसी दिन
उसका हाथ थाम लेता
और कहता—
मैं हूँ हमेशा साथ तुम्हारे
वे कहते हैं :
उसके हाथों हत्याएँ होंगी
वे कभी जान ही नहीं पाए
कि जो लड़की आँगन बुहारते वक़्त
चींटियों के बनाए घर तक
वैसे ही छोड़ दिया करती
वह कैसे किसी की हत्या कर सकती है!
क्या उसके माथे यह अपराध धर देना
उसकी ही हत्या कर देना नहीं था।
ab use atmahatya ke khayal nahin aate
ye kisi guzre zamane ki baat rahi hogi
theek waise hi
jaise zindagi ke ek daur mein
khwab nahin aate
neend nahin aati
muskan bhi nahin…
wo ek zindagi se bharpur laDki thi
wo ho jati thi chhoti chhoti baton mein khush
we kahte rahe—
wo kisi din bhag jayegi ghar se
we kabhi jaan hi nahin pae
ki use sirf bhagna hi nahin aaya
wo sirf itni khushqismat rahi
ki prem mein rahi
lekin itni bhi nahin
ki koi kaskar kisi din
uska hath tham leta
aur kahta—
main hoon hamesha sath tumhare
we kahte hain ha
uske hathon hatyayen hongi
we kabhi jaan hi nahin pae
ki jo laDki angan buharte waqt
chintiyon ke banaye ghar tak
waise hi chhoD diya karti
wo kaise kisi ki hattya kar sakti hai!
kya uske mathe ye apradh dhar dena
uski hi hattya kar dena nahin tha
ab use atmahatya ke khayal nahin aate
ye kisi guzre zamane ki baat rahi hogi
theek waise hi
jaise zindagi ke ek daur mein
khwab nahin aate
neend nahin aati
muskan bhi nahin…
wo ek zindagi se bharpur laDki thi
wo ho jati thi chhoti chhoti baton mein khush
we kahte rahe—
wo kisi din bhag jayegi ghar se
we kabhi jaan hi nahin pae
ki use sirf bhagna hi nahin aaya
wo sirf itni khushqismat rahi
ki prem mein rahi
lekin itni bhi nahin
ki koi kaskar kisi din
uska hath tham leta
aur kahta—
main hoon hamesha sath tumhare
we kahte hain ha
uske hathon hatyayen hongi
we kabhi jaan hi nahin pae
ki jo laDki angan buharte waqt
chintiyon ke banaye ghar tak
waise hi chhoD diya karti
wo kaise kisi ki hattya kar sakti hai!
kya uske mathe ye apradh dhar dena
uski hi hattya kar dena nahin tha
स्रोत :
रचनाकार : वियोगिनी ठाकुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.