सिर भारी जुनून तारी
कि वक़्त और वक़्त के दो टुकड़ों के बीच
मेरी छाया जो खड़ी है बुत
उसे हिला दूँ जैसे डाल हिलती
तब भद्द से गिर पड़ते हैं उस पर टँगे हुए
बहुत पुराने फल...
दिमाग़ में कितने जाले कितने झंखाड़
चट्टानें आदिम युगों की संध्याओं की
आसमानों में रौशनी पोंछ दिए जाने के खुरदुरे निशान
कितने कितने रुँधे जलों में
कितनी कितनी गर्दख़ोर यात्राओं के उजाड़ों
के बिंब छितरे हुए
काँटों के नुकीले पलों पर थमी हुई
ढरक ढरक पड़ने को बेताब कितनी अस्मिताएँ
सिर भारी सलवटों में नक़्शों के पुलिंदे
जिनमें भविष्य का बुख़ार
तह-दर-तह घूरता है
पाँव-तले शीशे के टुकड़ों में चमकता, तमतमाता
साँसों के आस-पास की हवा को ढकेल कर
वक़्त का वह निर्लज्ज टुकड़ा
मेरी खाल पर जलते हुए दिन-सा
चिपका है
बेमुरौवत महाजन का ब्याज बन कर
—कोई छाया, कोई शब्द, ख़ून की कोई मचलती हरकत
उससे छिपा कर अलग दर्ज नहीं की जा सकती
अस्तित्व के किसी बहीखाते में
सिर्फ़ एक अंतराल में शक्लें टूटती हैं
बनने के पहले आँखें उछलती हैं
दृश्य बनने तक
sir bhari junun tari
ki waqt aur waqt ke do tukDon ke beech
meri chhaya jo khaDi hai but
use hila doon jaise Dal hilti
tab bhadd se gir paDte hain us par tange hue
bahut purane phal
dimagh mein kitne jale kitne jhankhaD
chattanen aadim yugon ki sandhyaon ki
asmanon mein raushani ponchh diye jane ke khurdure nishan
kitne kitne rundhe jalon mein
kitni kitni gardkhor yatraon ke ujaDon
ke bimb chhitre hue
kanton ke nukile palon par thami hui
Dharak Dharak paDne ko betab kitni asmitayen
sir bhari salawton mein naqshon ke pulinde
jinmen bhawishya ka bukhar
tah dar tah ghurta hai
panw tale shishe ke tukDon mein chamakta, tamtamata
sanson ke aas pas ki hawa ko Dhakel kar
waqt ka wo nirlajj tukDa
meri khaal par jalte hue din sa
chipka hai
bemurauwat mahajan ka byaj ban kar
—koi chhaya, koi shabd, khoon ki koi machalti harkat
usse chhipa kar alag darj nahin ki ja sakti
astitw ke kisi bahikhate mein
sirf ek antral mein shaklen tutti hain
banne ke pahle ankhen uchhalti hain
drishya banne tak
sir bhari junun tari
ki waqt aur waqt ke do tukDon ke beech
meri chhaya jo khaDi hai but
use hila doon jaise Dal hilti
tab bhadd se gir paDte hain us par tange hue
bahut purane phal
dimagh mein kitne jale kitne jhankhaD
chattanen aadim yugon ki sandhyaon ki
asmanon mein raushani ponchh diye jane ke khurdure nishan
kitne kitne rundhe jalon mein
kitni kitni gardkhor yatraon ke ujaDon
ke bimb chhitre hue
kanton ke nukile palon par thami hui
Dharak Dharak paDne ko betab kitni asmitayen
sir bhari salawton mein naqshon ke pulinde
jinmen bhawishya ka bukhar
tah dar tah ghurta hai
panw tale shishe ke tukDon mein chamakta, tamtamata
sanson ke aas pas ki hawa ko Dhakel kar
waqt ka wo nirlajj tukDa
meri khaal par jalte hue din sa
chipka hai
bemurauwat mahajan ka byaj ban kar
—koi chhaya, koi shabd, khoon ki koi machalti harkat
usse chhipa kar alag darj nahin ki ja sakti
astitw ke kisi bahikhate mein
sirf ek antral mein shaklen tutti hain
banne ke pahle ankhen uchhalti hain
drishya banne tak
स्रोत :
पुस्तक : अपने होने को अप्रकाशित करता हुआ (पृष्ठ 56)
रचनाकार : मलयज
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.