भाइयो, उस आकाश के बारे में सोचो
जो तुम्हारे ऊपर टिका हुआ है
इस धरती के बारे में सोचो
जो तुम्हारे पाँवों तले थर-थर काँप रही है
भाइयो, इस हवा के बारे में सोचो
जो तुम्हारे घूँघट खोल रही है
कुछ ऐसे सोचो
कुछ वैसे सोचो
माथा दुखने के दिन हैं ये
अपना माथा ठोको भाइयों
बाज़ार में तुम क्या बेचोगे
क्या ख़रीदोगे
कौन से रास्ते तय करोगे सोचो
सोचने का यही सही समय है
सफ़र बाज़ार का तय करने से पहले सोचो
सोचो इस दुनिया में कितने अरण्य हैं
कितने रंग है
और कितना पानी है इस दुनिया में
अगर सोचने के लिए तुम्हारे पास समय नहीं हो
तो इतना ही सोचो
कि क्या यह सोचना ज़रूरी नहीं कि
तुम्हारी जेब कितनी लंबी हो सकती है
तुम्हारे बग़ल में लेटी हुई औरत
कब तक और कितना
क्या-क्या बेच सकती है
माँ का दूध कितने रुपए किलो बिकना चाहिए भाइयो
भाइयो, चलते चलते सोचो कि
दुनिया की रफ़्तार और धरती के कंपन में कैसा रिश्ता है
हर मिनट आख़िर अधिकतम कितने हादसे हो सकते है
गर्भवती स्त्री बलात्कार के कितने सीन झेल सकती है
भाइयो, अपने अरण्य से बाहर निकलकर
सोचो एक दिन सब लोग
धरती ने शुरू कर दी दुकानदारी तो क्या होगा?
सोचो दुनिया के अरबपतियों
धरती के सूख रहे पेड़ों के बारे में सोचो
हवा का रुख़ बदलने पर सोचो
ग़ायब हो रहे पक्षियों के बारे में सोचो
चींटियों तुम हाथियों के बारे में सोचो।
यह हाथियों के मदांध होने का दौर है।
bhaiyon, us akash ke bare mein socho
jo tumhare upar tika hua hai
is dharti ke bare mein socho
jo tumhare panvon tale thar thar kaanp rahi hai
bhaiyon, is hava ke bare mein socho
jo tumhare ghunghat khol rahi hai
kuch aise socho
kuch vaise socho
matha dukhne ke din hain ye
apna matha thoko bhaiyon
bazar mein tum kya bechoge
kya kharidoge
kaun se raste tay karoge socho
sochne ka yahi sahi samay hai
safar bazar ka tay karne se pahle socho
socho is duniya mein kitne arny hai
kitne rang hai
aur kitna pani hai is duniya men
agar sochne ke liye tumhare paas samay nahin ho
to itna hi socho
ki kya ye sochna zaruri nahin ki
tumhari jebh kitni lambi ho sakti hai
tumhare bagal mein leti hui aurat
kab tak aur kitna
kya kya bech sakti hai
maan ka doodh kitne rupe kilo bikna chahiye bhaiyo
bhaiyon chalte chalte socho ki
duniya ki raftar aur dharti ke kampann mein kaisa rishta hai
har minat akhir adhiktam kitne hadse ho sakte hai
garbhavti istri balatkar ke kitne seen jhel sakti hai
bhaiyon apne arny se bahar nikalkar
socho ek din sab log
dharti ne shuru kar di dukanadari to kya hoga?
secho duniya k arabapatiyon
dharti ke sookh rahe peDon ke bare mein socho
hava ka rookh badalne par socho
ghayab ho rahe pakshiyon ke bare mein socho
chintiyon tum hathiyon ke bare mein socho.
ye hathiyon ke madandh hone ka daur hai.
bhaiyon, us akash ke bare mein socho
jo tumhare upar tika hua hai
is dharti ke bare mein socho
jo tumhare panvon tale thar thar kaanp rahi hai
bhaiyon, is hava ke bare mein socho
jo tumhare ghunghat khol rahi hai
kuch aise socho
kuch vaise socho
matha dukhne ke din hain ye
apna matha thoko bhaiyon
bazar mein tum kya bechoge
kya kharidoge
kaun se raste tay karoge socho
sochne ka yahi sahi samay hai
safar bazar ka tay karne se pahle socho
socho is duniya mein kitne arny hai
kitne rang hai
aur kitna pani hai is duniya men
agar sochne ke liye tumhare paas samay nahin ho
to itna hi socho
ki kya ye sochna zaruri nahin ki
tumhari jebh kitni lambi ho sakti hai
tumhare bagal mein leti hui aurat
kab tak aur kitna
kya kya bech sakti hai
maan ka doodh kitne rupe kilo bikna chahiye bhaiyo
bhaiyon chalte chalte socho ki
duniya ki raftar aur dharti ke kampann mein kaisa rishta hai
har minat akhir adhiktam kitne hadse ho sakte hai
garbhavti istri balatkar ke kitne seen jhel sakti hai
bhaiyon apne arny se bahar nikalkar
socho ek din sab log
dharti ne shuru kar di dukanadari to kya hoga?
secho duniya k arabapatiyon
dharti ke sookh rahe peDon ke bare mein socho
hava ka rookh badalne par socho
ghayab ho rahe pakshiyon ke bare mein socho
chintiyon tum hathiyon ke bare mein socho.
ye hathiyon ke madandh hone ka daur hai.
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.