जैसे-जैसे उमर बढ़ती जाती है हमारे दिमाग़ में स्मृतियों
का ख़ज़ाना बनने लगता है। ख़ज़ाने में लगातार और-और
स्मृतियों के आते-आते रहने से खनखनाहट पैदा होती है
और इस खनखनाहट की वजह से हम हमेशा चौकन्ने रहते
हैं या बेतरतीब।
हम कभी भी अपनी स्मृतियों से पीछा नहीं छुड़ा सकते
स्मृतियाँ हमें ज़ंग की तरह पकड़े होती हैं या हम
स्मृतियों को। यह ज़ंग छुड़ाने से भी नहीं छूटता और
यदि छूटता भी है तो काला-सा निशान छोड़ जाता है,
कि देखो यहाँ कभी मैं था, मैं जिसे तुमने लाख छुड़ाना
चाहा, पर मैं, मैं हूँ अपना देश बदलकर प्रकट होता हुआ।
ऐसा करें कि हम स्मृतियों को कहीं आकाश में छुपा दें या
उन्हें, प्यारे बादलों से ढँक दें या
ग्रहों को कह दें कि इन्हें संभाल कर रखें।
नदियों से कह दें कि इन्हें अपनी छाती में जगह दें।
अग्नि से कहना होगा कि इन्हें जलाएँ नहीं।
ख़ूँख़ार मनुष्यों से कहें, वे इन्हें रौंदे नहीं।
पर हम स्मृतियों के बारे में पृथ्वी से क्या कहेंगे?
शायद पृथ्वी हमारी स्मृतियों को बचाकर रखेगी
हमारे फिर से आने तक।
jaise jaise umar baDhti jati hai hamare dimagh mein smritiyon
ka khazana banne lagta hai khazane mein lagatar aur aur
smritiyon ke aate aate rahne se khanakhnahat paida hoti hai
aur is khanakhnahat ki wajah se hum hamesha chaukanne rahte
hain ya betartib
hum kabhi bhi apni smritiyon se pichha nahin chhuDa sakte
smritiyan hamein zang ki tarah pakDe hoti hain ya hum
smritiyon ko ye zang chhuDane se bhi nahin chhutta aur
yadi chhutta bhi hai to kala sa nishan chhoD jata hai,
ki dekho yahan kabhi main tha, main jise tumne lakh chhuDana
chaha, par main, main hoon apna desh badalkar prakat hota hua
aisa karen ki hum smritiyon ko kahin akash mein chhupa den ya
unhen, pyare badlon se Dhank den ya
grhon ko kah den ki inhen sambhal kar rakhen
nadiyon se kah den ki inhen apni chhati mein jagah den
agni se kahna hoga ki inhen jalayen nahin
khunkhar manushyon se kahen, we inhen raunde nahin
par hum smritiyon ke bare mein prithwi se kya kahenge?
shayad prithwi hamari smritiyon ko bachakar rakhegi
hamare phir se aane tak

स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 273 (पृष्ठ 51)
संपादक : भगवत रावत
रचनाकार : भगतसिंह सोनी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.