नौकरियाँ तमाम परिभाषाओं को नष्ट करने के बाद
जलाती हैं हमारे पंखों को बेरहमी से
नौकरियों का इतिहास मजबूरियों का इतिहास है
इसने लोगों का सिर्फ़ वज़न ही नहीं बढ़ाया बल्कि
सुख भोगी मनुष्य जाति के आत्मा में छेद भी किया
इसने मनुष्यों से उनकी मनुष्यता छीनी
उनके बेहद कोमल भावनाओं को सबसे बड़े इश्तिहार में बदला
ये नौकरियाँ ही थीं जिन्होंने मनुष्यों को अपने जवान होते
बच्चों से दूर किया
लोग भूल गए किसी के ख़त का जवाब लिखना
प्रेम के इज़हार के लिए हम भूल गए
किसी शब्द की प्रतीक्षा का सुख
जिनके पास कुछ नहीं था
उन्होंने आसमान को अपना छत माना
जिनके पेट थे थोड़े भरे हुए
वे नौकरी के रास्ते पर निकले
इस रास्ते पर है सिर्फ़ थकान
मनुष्य जन अपने स्मृतियों की पोटली रखें सँभालकर
यात्रा ख़त्म होने के बाद बचा रहे वह आदिम मनुष्य
बची रहे प्रार्थना और जीवन।
naukariyan tamam paribhashaon ko nasht karne ke baad
jalati hain hamare pankhon ko berahmi se
naukariyon ka itihas mazburiyon ka itihas hai
isne logon ka sirf vajan hi nahin baDhaya balki
sukh bhogi manushya jati ke aatma mein chhed bhi kiya
isne manushyon se unki manushyata chhini
unke behad komal bhaunaun ko sabse baDe ishtihar mein badla
ye naukariyan hi theen jinhonne manushyon ko apne javan hote
bachchon se door kiya
log bhool gaye kisi ke ख़t ka javab likhna
prem ke izhaar ke liye hum bhool gaye
kisi shabd ke pratiksha ka sukh
jinke paas kuch nahin tha
unhonne asman ko apna chhat mana
jinke pet the thoDe bhare hue
wo naukari ke raste pe nikle
is raste par hai sirf thakan
manushya jan apne smritiyon ki potli rakhen sambhalkar
yatra khatm hone ke baad bacha rahe wo aadim manushya
bacha rahe pararthna aur jivan.

स्रोत :
रचनाकार : राकेश कुमार मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.