वो डरता नहीं है मालिक से
गाता रहता है
अपनी पसंद के गीत
करते हुए अपना काम
वो गाता है इस तरह
जिसे देखकर लगे
कि बिना गीत
यह काम लगेगा कितना अटपटा
जैसे क्यारियों और गमलों में
डालना पानी
हर सुबह
जैसे झाड़ू-पोंछा करना
छह कमरे का
हर सुबह
मालिक के रोते बच्चे को
चुप कराना हर सुबह
बिना गीत
ये सारे काम
हो सकते है
कितने बोझिल
कितने नीरस
जबकि इन्हें करना हो
हर सुबह
मालिक भी जानता है
इस बात को
शायद
इसलिए नहीं रोकता
गाने से
नौकर को
जब वह रखता है पाँव
चमचमाते फ़र्श पर
तो सोचता है
उसका नौकर
गाता भले ही हो
फ़र्श को चमका देता है
जब वह देखता है
अपने बच्चे को मुस्कुराते
खेलते हुए खिलौनों से
उसे लगता है
गाना अच्छी चीज़ है
यह सिखा देता है
मुस्कुराना
जब पड़ती है उसकी नज़र
फूलों से लदे
अपने बग़ीचे पर
तो वह जान जाता है
फूलों को भी पसंद है
मालिक से बिना डरे
गाए गए गीत
wo Darta nahin hai malik se
gata rahta hai
apni pasand ke geet
karte hue apna kaam
wo gata hai is tarah
jise dekhkar lage
ki bina geet
ye kaam lagega kitna atpata
jaise kyariyon aur gamlon men
Dalna pani
har subah
jaise jhaDu ponchha karna
chhah kamre ka
har subah
malik ke rote bachche ko
chup karana har subah
bina geet
ye sare kaam
ho sakte hai
kitne bojhil
kitne niras
jabki inhen karna ho
har subah
malik bhi janta hai
is baat ko
shayad
isliye nahin rokta
gane se
naukar ko
jab wo rakhta hai paanv
chamchamate farsh par
to sochta hai
uska naukar
gata bhale hi ho
farsh ko chamka deta hai
jab wo dekhta hai
apne bachche ko muskurate
khelte hue khilaunon se
use lagta hai
gana achchhi cheez hai
ye sikha deta hai
muskurana
jab paDti hai uski nazar
phulon se lade
apne baghiche par
to wo jaan jata hai
phulon ko bhi pasand hai
malik se bina Dare
gaye ge geet
wo Darta nahin hai malik se
gata rahta hai
apni pasand ke geet
karte hue apna kaam
wo gata hai is tarah
jise dekhkar lage
ki bina geet
ye kaam lagega kitna atpata
jaise kyariyon aur gamlon men
Dalna pani
har subah
jaise jhaDu ponchha karna
chhah kamre ka
har subah
malik ke rote bachche ko
chup karana har subah
bina geet
ye sare kaam
ho sakte hai
kitne bojhil
kitne niras
jabki inhen karna ho
har subah
malik bhi janta hai
is baat ko
shayad
isliye nahin rokta
gane se
naukar ko
jab wo rakhta hai paanv
chamchamate farsh par
to sochta hai
uska naukar
gata bhale hi ho
farsh ko chamka deta hai
jab wo dekhta hai
apne bachche ko muskurate
khelte hue khilaunon se
use lagta hai
gana achchhi cheez hai
ye sikha deta hai
muskurana
jab paDti hai uski nazar
phulon se lade
apne baghiche par
to wo jaan jata hai
phulon ko bhi pasand hai
malik se bina Dare
gaye ge geet
स्रोत :
पुस्तक : बाक़ी बचें जो (पृष्ठ 45)
रचनाकार : राजकुमार केसवानी
प्रकाशन : शिल्पायन प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.