शुरुआतें कितनी सुंदर होती हैं
रूई से भरी, भरी वनघासों से
संभावनाओं में उतरातीं डूबतीं
मुझे ख़ंजरों से भय नहीं लगता
छज्जे से गिरने से नहीं साँप के ज़हर से नहीं
मैं डरता हूँ चीज़ों के बासी हो जाने से
हरेक उत्सुक शुरुआत के बाद
मर जाने का मतलब
ठहर जाना था
जीवित रहने का अर्थ था
उम्रदराज़ हो जाना
जीने की ये मियाद मुझको मायूस करती
कि इतना लंबा भी क्या जीना!
मुझे एक शहर नहीं चाहिए
मुझे चाहिए एक कमरा
आकाश नहीं चाहिए
चाहिए एक खिड़की
जंगल नहीं पांखुरी
समुद्र नहीं अंजुरी
मुझे नहीं चाहिए यह धरती
चाहिए केवल सफ़ेद कबूतर का
एक पंख!
मुझे अमर नहीं होना
किसी पहाड़ की तरह
मुझे बनना है एक ऐसी मजलिस
जो पहले मिसरे पर रुक जाए—
तसल्ली और पूरेपन के साथ
shuruaten kitni sundar hoti hain
rui se bhari, bhari wanghason se
sambhawnaon mein utratin Dubtin
mujhe khanjron se bhay nahin lagta
chhajje se girne se nahin sanp ke zahr se nahin
main Darta hoon chizon ke basi ho jane se
harek utsuk shuruat ke baad
mar jane ka matlab
thahar jana tha
jiwit rahne ka arth tha
umradraz ho jana
jine ki ye miyad mujhko mayus karti
ki itna lamba bhi kya jina!
mujhe ek shahr nahin chahiye
mujhe chahiye ek kamra
akash nahin chahiye
chahiye ek khiDki
jangal nahin pankhuri
samudr nahin anjuri
mujhe nahin chahiye ye dharti
chahiye kewal safed kabutar ka
ek pankh!
mujhe amar nahin hona
kisi pahaD ki tarah
mujhe banna hai ek aisi majlis
jo pahle misre par ruk jaye—
tasalli aur purepan ke sath
ki bus ab aur nahin kahna!
shuruaten kitni sundar hoti hain
rui se bhari, bhari wanghason se
sambhawnaon mein utratin Dubtin
mujhe khanjron se bhay nahin lagta
chhajje se girne se nahin sanp ke zahr se nahin
main Darta hoon chizon ke basi ho jane se
harek utsuk shuruat ke baad
mar jane ka matlab
thahar jana tha
jiwit rahne ka arth tha
umradraz ho jana
jine ki ye miyad mujhko mayus karti
ki itna lamba bhi kya jina!
mujhe ek shahr nahin chahiye
mujhe chahiye ek kamra
akash nahin chahiye
chahiye ek khiDki
jangal nahin pankhuri
samudr nahin anjuri
mujhe nahin chahiye ye dharti
chahiye kewal safed kabutar ka
ek pankh!
mujhe amar nahin hona
kisi pahaD ki tarah
mujhe banna hai ek aisi majlis
jo pahle misre par ruk jaye—
tasalli aur purepan ke sath
ki bus ab aur nahin kahna!
स्रोत :
रचनाकार : सुशोभित
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.