आजकल मेरे शहर का मिज़ाज
कुछ अच्छा नहीं दिखता
मेरे शहर में
अँधेरे की साज़िशें
रोज़-ब-रोज़ बढ़ती ही जा रही हैं
और उजाले की कोशिशें
निरंतर नाकाम होती जा रही हैं
मुझे शहर के मिज़ाज के बिगड़ने का अंदेशा
उसी दिन से हो गया था
जिस दिन से शहर के तमाम पत्थर
किसी के दास हो गए
जब से पत्थरों ने दासत्व स्वीकारा है...
तब से शीशे के घरों के लिए ख़तरा बढ़ गया है
और यह ख़तरा तब और ही बढ़ जाता है...
जब सारा का सारा शहर शीशे का बना हो
भला, शीशे का शहर
कब तक अपने-आप को पत्थरों से बचा पाएगा...
मेरा शहर भी तो शीशे का शहर है
और जब कोई मेरे शहर पर पत्थर फेंकता है
तो वह टूट-टूट कर अनगिन किरचों में बिखर जाता है
मैं अपने शहर के टूट कर बिखरे हुए उन्हीं किरचों को
अपने हाथों से चुनता हूँ
क्योंकि मैं अपने शहर को कभी टूट कर बिखरा हुआ
नहीं देख सकता
मेरे टूटे शहर को देख कर हँसने वालो!
यह शहर तो कल फिर बन-सँवर जाएगा
लेकिन मैं उस दिन से डरता हूँ
जब कोई पत्थर तुम्हारा भी शहर तोड़ेगा
तब तुम रोने के सिवा कुछ भी नहीं कर पाओगे
क्योंकि टूटे शीशे को चुनना तो
तुमने कभी सीखा ही नहीं!
ajkal mere shahr ka mizaj
kuch achchha nahin dikhta
mere shahr mein
andhere ki sazishen
roz ba roz baDhti hi ja rahi hain
aur ujale ki koshishen
nirantar nakam hoti ja rahi hain
mujhe shahr ke mizaj ke bigaDne ka andesha
usi din se ho gaya tha
jis din se shahr ke tamam patthar
kisi ke das ho gaye
jab se patthron ne dasatw swikara hai
tab se shishe ke gharon ke liye khatra baDh gaya hai
aur ye khatra tab aur hi baDh jata hai
jab sara ka sara shahr shishe ka bana ho
bhala, shishe ka shahr
kab tak apne aap ko patthron se bacha payega
mera shahr bhi to shishe ka shahr hai
aur jab koi mere shahr par patthar phenkta hai
to wo toot toot kar angin kirchon mein bikhar jata hai
main apne shahr ke toot kar bikhre hue unhin kirchon ko
apne hathon se chunta hoon
kyonki main apne shahr ko kabhi toot kar bikhra hua
nahin dekh sakta
mere tute shahr ko dekh kar hansne walo!
ye shahr to kal phir ban sanwar jayega
lekin main us din se Darta hoon
jab koi patthar tumhara bhi shahr toDega
tab tum rone ke siwa kuch bhi nahin kar paoge
kyonki tute shishe ko chunna to
tumne kabhi sikha hi nahin!
ajkal mere shahr ka mizaj
kuch achchha nahin dikhta
mere shahr mein
andhere ki sazishen
roz ba roz baDhti hi ja rahi hain
aur ujale ki koshishen
nirantar nakam hoti ja rahi hain
mujhe shahr ke mizaj ke bigaDne ka andesha
usi din se ho gaya tha
jis din se shahr ke tamam patthar
kisi ke das ho gaye
jab se patthron ne dasatw swikara hai
tab se shishe ke gharon ke liye khatra baDh gaya hai
aur ye khatra tab aur hi baDh jata hai
jab sara ka sara shahr shishe ka bana ho
bhala, shishe ka shahr
kab tak apne aap ko patthron se bacha payega
mera shahr bhi to shishe ka shahr hai
aur jab koi mere shahr par patthar phenkta hai
to wo toot toot kar angin kirchon mein bikhar jata hai
main apne shahr ke toot kar bikhre hue unhin kirchon ko
apne hathon se chunta hoon
kyonki main apne shahr ko kabhi toot kar bikhra hua
nahin dekh sakta
mere tute shahr ko dekh kar hansne walo!
ye shahr to kal phir ban sanwar jayega
lekin main us din se Darta hoon
jab koi patthar tumhara bhi shahr toDega
tab tum rone ke siwa kuch bhi nahin kar paoge
kyonki tute shishe ko chunna to
tumne kabhi sikha hi nahin!
स्रोत :
रचनाकार : रमेश ऋतंभर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.