उनके लिए हर फ़ोन करने वाला
ग्राहक है
भले ही उसकी आवाज़ रुँधी ही क्यों न हो
अस्पताल में मौत
बिजली के आने-जाने जितना है सामान्य
उनके लिए
वे मुस्तैदी से ले जाते हैं शव
अस्पताल से देश के कोने-अतरे तक
गाँव-शहर-गली मोहल्ले तक
वे ठीक-ठीक से पहुँचा आते हैं
एक मृतक देह
नाम-गोत्र-धर्महीन
मरते हैं अस्पताल में
मरते हैं बेपता
पत्नी-पुत्र-संबंधीविहीन लोग मरते हैं
किसी ख़ुफ़िया जगह
निपटा आते हैं शव ढोने वाले
बड़ी ही शाइस्तगी से
जब उनकी पाली बदल जाती है
तो बाज़ार से सब्ज़ी लाते हैं
अपने बच्चों के लिए कोई अच्छी-सी आइसक्रीम
पत्नी को ढेर सारा प्यार करके
सो जाते हैं शव ढोने वाले।
unke liye har fon karne vala
grahak hai
bhale hi uski avaz rundhi hi kyon na ho
aspatal mein maut
bijli ke aane jane jitna hai samanya
unke liye
ve mustaidi se le jate hain shav
aspatal se desh ke kone antare tak
gaanv shahr gali mohalle tak
ve theek theek se pahuncha aate hain
ek mritak deh
naam gotr dharm heen
marte hain aspatal men
marte hain bepta
patni putr sambandhi vihin log marte hain
kisi khufiya jagah
nipta aate hain shav Dhone vale
baDi hi shaistagi se
jab unki pali badal jati hai
to bazar se sabji late hain
apne bachchon ke liye koi achchhi si aisakrim
patni ko Dher sara pyaar kar ke
so jate hain shav Dhone vale.
unke liye har fon karne vala
grahak hai
bhale hi uski avaz rundhi hi kyon na ho
aspatal mein maut
bijli ke aane jane jitna hai samanya
unke liye
ve mustaidi se le jate hain shav
aspatal se desh ke kone antare tak
gaanv shahr gali mohalle tak
ve theek theek se pahuncha aate hain
ek mritak deh
naam gotr dharm heen
marte hain aspatal men
marte hain bepta
patni putr sambandhi vihin log marte hain
kisi khufiya jagah
nipta aate hain shav Dhone vale
baDi hi shaistagi se
jab unki pali badal jati hai
to bazar se sabji late hain
apne bachchon ke liye koi achchhi si aisakrim
patni ko Dher sara pyaar kar ke
so jate hain shav Dhone vale.
स्रोत :
रचनाकार : रमाशंकर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.