पुरातत्वविदों की टीम आई है
और इस स्थल का उत्खनन कर रही है
सूरज एकाएक जैसे ठिठक गया है
बहुत पुरानी चीज़ों के फिर दिख जाने के आश्चर्य से भरा हुआ
ख़ुदाई में पुरानी सभ्यता के कई महत्वपूर्ण साक्ष्य मिले हैं
नीचे मिट्टी के दबे हुए मृदभाँड हैं
मृदभाँडों के अंदर राख़ है
राख़ में मिट्टी के खिलौने और कुछ सिक्के हैं
इतने वर्षों तक राख़ की निगहबानी में
साथ सोते रहे सिक्के और खिलौने
सदियों की महानिद्रा से उठकर
आज जब आँखें खुलीं तो सिक्के ने देखा
कि दुनिया बहुत बदल चुकी है
वो राजा जिसका चित्र बदन पर अंकित है
उसका नामो निशान भी मिट चुका है
न उसकी आज्ञाएँ हैं न उसका राज-पाट
जिसके खनकने से बाज़ार की धड़कने बढ़ जाती थीं
जिनके न खनकने से घर ओढ़ लेते थे
गहरी उदासी की स्याह चादर
वह चारों ओर असहाय देख रहा है
सैर सपाटे राग रंग सोना-चाँदी धरम-करम
राज्य और सत्ता की नसों में बहता ख़ून गरम
महलों से लेकर सड़कों तक चौराहों की चमक-दमक
ऐसा लगता है
अपनी घूमती हुई परछाईं के चक्र में फँसकर
वक्त के डैने लहूलुहान हो गए हैं
वक्त ही बहेलिया है ताक़ में बैठा हुआ
कुछ भी कर सकने और कुछ भी ख़रीद सकने का
उसका गुरूर टूटता हुआ दिखा
बाज़ार में अब चल रहे सिक्कों के उपहास का
पात्र होने का डर सताने लगा
गतमूल्य और हतप्रभ सिक्का सोचने लगा
अधिक से अधिक उन्हें किसी संग्रहालय में सजा दिया जाएगा
अच्छा होता—
मैं वर्षों की ठंडी राख़ में पकता हुआ खिलौना बन जाता
जिसे लेकर बच्चे भागते एक-दूसरे से छीनते
और नाचने लगते ख़ुशी से निहाल होकर
puratatvavidon ki teem aai hai
aur is sthal ka utkhanan kar rahi hai
suraj ekayek jaise thithak gaya hai
bahut purani chizon ke phir dikh jane ke ashcharya se bhara hua
khudai mein purani sabhyata ke kai mahatvpurn sakshya mile hain
niche mitti ke dabe hue mridbhanD hain
mridbhanDon ke andar raakh hai
raakh mein mitti ke khilaune aur kuch sikke hain
itne varshon tak raakh ki nigahbani men
saath sote rahe sikke aur khilaune
sadiyon ki mahanidra se uthkar
aaj jab ankhen khulin to sikke ne dekha
ki duniya bahut badal chuki hai
wo raja jiska chitr badan par ankit hai
uska namo nishan bhi mit chuka hai
na uski agyayen hain na uska raaj paat
jiske khanakne se bazar ki dhaDakne baDh jati theen
jinke na khanakne se ghar oDh lete the
gahri udasi ki syaah chadar
wo charon or ashay dekh raha hai
sair sapate raag rang sona chandi dharam karam
rajya aur satta ki nason mein bahta khoon garam
mahlon se lekar saDkon tak chaurahon ki chamak damak
aisa lagta hai
apni ghumti hui parchhain ke chakr mein phansakar
vakt ke Daine lahuluhan ho ge hain
vakt hi baheliya hai taaq mein baitha hua
kuch bhi kar sakne aur kuch bhi kharid sakne ka
uska gurur tutta hua dikha
bazar mein ab chal rahe sikkon ke uphaas ka
paatr hone ka Dar satane laga
gatmulya aur hataprabh sikka sochne laga
adhik se adhik unhen kisi sangrhalay mein saja diya jayega
achchha hota—
main varshon ki thanDi raakh mein pakta hua khilauna ban jata
jise lekar bachche bhagte ek dusre se chhinte
aur nachne lagte khushi se nihal hokar

स्रोत :
रचनाकार : अनिल मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.