मेरे सारे शब्द प्यार के किसी दूर विगता के जूठे :
तुम्हें मनाने हाय कहाँ से ले आऊँ मैं भाव अनूठे?
तुम देती हो अनुकंपा से मैं कृतज्ञ हो ले लेता हूँ—
तुम रूठीं—मैं मन मसोस कर कहता, भाग्य हमारे रूठे!
मैं तुमको संबोधन कर मीठी-मीठी बातें करता हूँ,
किंतु हृदय के भीतर किसकी तीखी चोट सदा सहता हूँ?
बातें सच्ची हैं, यद्यपि वे नहीं तुम्हारी हो सकती हैं—
तुमसे झूठ कहूँ कैसे जब उसके प्रति सच्चा रहता हूँ?
मेरा क्या है दोष कि जिसको मैंने जी भर प्यार किया था,
प्रात-किरण ज्यों नव-कलिका में जिसको उर में धार लिया था,
मुझ आतुर को छोड़ अकेली जाने किस पथ चली गई वह—
एक आग के फेरे करके जिस पर सब कुछ वार दिया था?
मेरा क्या है दोष कि मैंने तुमको बाद किसी के जाना?
अपना जब छिन गया, पराए धन का तब गौरव पहचाना?
प्रथम बार का मिलन चिरंतन सोचो, कैसे हो सकता है—
जब इस जग के चौराहे पर लगा हुआ है आना-जाना?
होगी यह कामुकता जो मैं तुमको साथ यहाँ ले आया—
किसी गता के आसन पर जो बरबस मैंने तुम्हें बिठाया,
किंतु देखता हूँ, मेरे उर में अब भी वह रिक्त बना है,
निर्बल होकर भी मैं उसकी स्मृति से अलग कहाँ हो पाया?
तुम न मुझे कोसो, लज्जा से मस्तक मेरा झुका हुआ है,
उर में वह अपराध व्यक्त है होंठों पर जो रुका हुआ है—
आज तुम्हारे सम्मुख जो उपहार रूप रखने आया हूँ
वह मेरा मन-फूल दूसरी वेदी पर चढ़ चुका हुआ है!
फिर भी मैं कैसे आया हूँ क्यों कर यह तुमको समझाऊँ—
स्वयं किसी का होकर कैसे मैं तुमको अपना कह पाऊँ?
पर मंदिर की माँग यही है वेदी रहे न क्षण-भर सूनी
वह यह कब इंगित करता है किसकी प्रतिमा वहाँ बिठाऊँ?
नहीं अंग खोकर लकड़ी पर हृदय अपाहिज का थमता है।
किंतु उसी पर धीरे-धीरे पुन: धैर्य उसका जमता है।
उर उसको धारे है, फिर भी तेरे लिए खुला जाता है—
उतना आतुर प्यार न हो पर उतनी ही कोमल ममता है!
शायद यह भी धोखा ही हो, तब तुम सच मानोगी इतना :
एक तुम्हीं को दे देता हूँ उससे बच जाता है जितना।
और छोड़ कर मुझको वह निर्मम इतनी है अब है संन्यासिनि—
उस को भोग लगा कर भी तो बच जाता है जाने कितना!
प्यार अनादि स्वयं है, यद्यपि हम में अभी-अभी आया है,
बीच हमारे जाने कितने मिलन-विग्रहों की छाया है—
मति तो उसके साथ गई, पर यह विचार कर रह जाता हूँ—
वह भी थी विडंबना विधि की यह भी विधना की माया है!
उस अत्यंतगता की स्मृति को फिर दो सूखे फूल चढ़ा कर
उस दीपक की अनझिप ज्वाला आदर से थोड़ा उकसा कर
मैं मानो उसकी अनुमति से फिर उसकी याद हरी करता हूँ—
उससे कही हुई बातें फिर-फिर तेरे आगे दुहरा कर!
mere sare shabd pyar ke kisi door wigta ke juthe ha
tumhein manane hay kahan se le aun main bhaw anuthe?
tum deti ho anukampa se main kritagy ho le leta hoon—
tum ruthin—main man masos kar kahta, bhagya hamare ruthe!
main tumko sambodhan kar mithi mithi baten karta hoon,
kintu hirdai ke bhitar kiski tikhi chot sada sahta hoon?
baten sachchi hain, yadyapi we nahin tumhari ho sakti hain—
tumse jhooth kahun kaise jab uske prati sachcha rahta hoon?
mera kya hai dosh ki jisko mainne ji bhar pyar kiya tha,
praat kiran jyon naw kalika mein jisko ur mein dhaar liya tha,
mujh aatur ko chhoD akeli jane kis path chali gai wah—
ek aag ke phere karke jis par sab kuch war diya tha?
mera kya hai dosh ki mainne tumko baad kisi ke jana?
apna jab chhin gaya, paraye dhan ka tab gauraw pahchana?
pratham bar ka milan chirantan socho, kaise ho sakta hai—
jab is jag ke chaurahe par laga hua hai aana jana?
hogi ye kamukta jo main tumko sath yahan le aaya—
kisi gata ke aasan par jo barbas mainne tumhein bithaya,
kintu dekhta hoon, mere ur mein ab bhi wo rikt bana hai,
nirbal hokar bhi main uski smriti se alag kahan ho paya?
tum na mujhe koso, lajja se mastak mera jhuka hua hai,
ur mein wo apradh wyakt hai honthon par jo ruka hua hai—
aj tumhare sammukh jo uphaar roop rakhne aaya hoon
wo mera man phool dusri wedi par chaDh chuka hua hai!
phir bhi main kaise aaya hoon kyon kar ye tumko samjhaun—
swayan kisi ka hokar kaise main tumko apna kah paun?
par mandir ki mang yahi hai wedi rahe na kshan bhar suni
wo ye kab ingit karta hai kiski pratima wahan bithaun?
nahin ang khokar lakDi par hirdai apahij ka thamta hai
kintu usi par dhire dhire punah dhairya uska jamta hai
ur usko dhare hai, phir bhi tere liye khula jata hai—
utna aatur pyar na ho par utni hi komal mamta hai!
shayad ye bhi dhokha hi ho, tab tum sach manogi itna ha
ek tumhin ko de deta hoon usse bach jata hai jitna
aur chhoD kar mujhko wo nirmam itni hai ab hai sannyasini—
us ko bhog laga kar bhi to bach jata hai jane kitna!
pyar anadi swayan hai, yadyapi hum mein abhi abhi aaya hai,
beech hamare jane kitne milan wigrhon ki chhaya hai—
mati to uske sath gai, par ye wichar kar rah jata hoon—
wo bhi thi wiDambna widhi ki ye bhi widhna ki maya hai!
us atyantagta ki smriti ko phir do sukhe phool chaDha kar
us dipak ki anjhip jwala aadar se thoDa uksa kar
main mano uski anumti se phir uski yaad hari karta hoon—
usse kahi hui baten phir phir tere aage duhra kar!

स्रोत :
पुस्तक : सन्नाटे का छंद (पृष्ठ 25)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : अज्ञेय
प्रकाशन : वाग्देवी प्रकाशन
संस्करण : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.