मैं...अमानत था कभी अपनी
लेकिन अब नहीं
खींच निकाला तन किसी चालाक मन से
और अब एक टीस है शायद धमकी-सी
क्या कहा कि सज़ा सुना दी गई
अपने दुश्मन पर नज़र अपराध है
लेकिन मेरी आवाज़ का करोगे क्या
सितम की इस रात में
घंटियों नरसिंहों की हँसी, रुदन ने
मेरी वसीयत सुनने नहीं दी
मैं कहता—ज़िंदगी माता मेरी क्वाँरी ही सही
लेकिन अभी यह प्यार की मुजरिम नहीं
फ़रिश्ता कोई, इसी का शाश्वत जन्म
कोई, एक कली सुँघाकर पत्थर कर गया
मुझे जन्मा, फेंका गया, अँधेरी रात में
एक सिसकी
और फिर सूचना
स्वर्ग में किसी को उलटा लटकाया है आज
और मेरी बगल में तभी से एक ख़ंजर-सा
मेरी अमानत का रक्षक युगों से
अपनी ज़िद पर मेरी दुहाई
यही थी, जल्दी करो
ज़िंदगी को दिया था वचन कि आऊँगा ज़रूर
लेकिन जल्लादों ने कहा—यही सज़ा है
ऐसे रात पर लागू नहीं होता समय
लेकिन फ़रियाद पहिए के नीचे कुचल दी जाएगी
जी हाँ, उसी रात
मेरी हड्डियों का चूरा बनाकर
वह बारूद जिसकी अगली गोली
कितने ही मार्टिन लूथरों में से निकाली
गुज़ार दी गई
अभी तक उसकी साँस
धरती के हर उजले माथे पर
फँसी बैठी हैं।
main amanat tha kabhi apni
lekin ab nahin
kheench nikala tan kisi chalak man se
aur ab ek tees hai shayad dhamki si
kya kaha ki saja suna di gai
apne dushman par nazar apradh hai
lekin meri awaz ka karoge kya
sitam ki is raat mein
ghantiyon narsinhon ki hansi, rudan ne
meri wasiyat sunne nahin di
main kahta zindagi mata meri kwari hi sahi
lekin abhi ye pyar ki mujrim nahin
farishta koi, isi ka shashwat janm
koi, ek kali sunghakar patthar kar gaya
mujhe janma, phenka gaya, andheri raat mein
ek siski
aur phir suchana
swarg mein kisi ko ulta latkaya hai aaj
aur meri bagal mein tabhi se ek khanjar sa
meri amanat ka rakshak yugon se
apni zid par meri duhai
yahi thi, jaldi karo
zindagi ko diya tha wachan ki aunga zarur
lekin jalladon ne kaha—yahi saza hai
aise raat par lagu nahin hota samay
lekin fariyad pahiye ke niche kuchal di jayegi
ji han, usi raat
meri haDDiyon ka chura banakar
ye barud jiski agli goli
kitne hi martin luthron mein se nikali
gujar di gai
abhi tak uski sans
dharti ke har ujle mathe par
phansi baithi hain
main amanat tha kabhi apni
lekin ab nahin
kheench nikala tan kisi chalak man se
aur ab ek tees hai shayad dhamki si
kya kaha ki saja suna di gai
apne dushman par nazar apradh hai
lekin meri awaz ka karoge kya
sitam ki is raat mein
ghantiyon narsinhon ki hansi, rudan ne
meri wasiyat sunne nahin di
main kahta zindagi mata meri kwari hi sahi
lekin abhi ye pyar ki mujrim nahin
farishta koi, isi ka shashwat janm
koi, ek kali sunghakar patthar kar gaya
mujhe janma, phenka gaya, andheri raat mein
ek siski
aur phir suchana
swarg mein kisi ko ulta latkaya hai aaj
aur meri bagal mein tabhi se ek khanjar sa
meri amanat ka rakshak yugon se
apni zid par meri duhai
yahi thi, jaldi karo
zindagi ko diya tha wachan ki aunga zarur
lekin jalladon ne kaha—yahi saza hai
aise raat par lagu nahin hota samay
lekin fariyad pahiye ke niche kuchal di jayegi
ji han, usi raat
meri haDDiyon ka chura banakar
ye barud jiski agli goli
kitne hi martin luthron mein se nikali
gujar di gai
abhi tak uski sans
dharti ke har ujle mathe par
phansi baithi hain
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 121)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.