रखता हूँ बढ़ई के कुछ औज़ार
लोहार का घन
कुछ नहीं का सब कुछ
जानने वाला नहीं
तो सबका जानना होगा कुछ-कुछ
राह में ठीक कर लेता लगकर
अपने से चक्का रथ का
ठोंक-पीट लेता देह की मशीन आप
छा बना लेता घर ख़ुद
हर बारिश के पहले बाद
रखता हूँ मरम्मतियों के जोड़
क़ुली का माथा
धुनिए की धुन
जिन-जिनके ये हुनर
सबका आदर
सबकी बाक़ी है गुरु दक्षिणा
सबसे सीखा आँख बचाकर
चरवाहों के चैन और हाटवालों की हड़बड़ी के बीच
सोचता हूँ छू सकूँ जीवन को जितनी कोरों से
और फिर यह चाह भर नहीं
यही शर्त
ज़िंदा रहने की
इत्ते से वक़्त और बित्ते से आकाश में
मारने या मरने के लिए काफ़ी है
एक चोट एक धार
जीने के लिए चाहिए सारे के सारे औज़ार!
rakhta hoon baDhai ke kuch auzar
lohar ka ghan
kuch nahin ka sab kuch
janne wala nahin
to sabka janna hoga kuch kuch
rah mein theek kar leta lagkar
apne se chakka rath ka
thonk peet leta deh ki machine aap
chha bana leta ghar khu
har barish ke pahle baad
rakhta hoon marammatiyon ke joD
quli ka matha
dhuniye ki dhun
jin jinke ye hunar
sabka aadar
sabki baqi hai guru dachchhina
sabse sikha ankh bachakar
charwahon ke chain aur hatwalon ki haDbaDi ke beech
sochta hoon chhu sakun jiwan ko jitni koron se
aur phir ye chah bhar nahin
yahi shart
zinda rahne ki
itte se waqt aur bitte se akash mein
marne ya marne ke liye kafi hai
ek chot ek dhaar
jine ke liye chahiye sare ke sare auzar!
rakhta hoon baDhai ke kuch auzar
lohar ka ghan
kuch nahin ka sab kuch
janne wala nahin
to sabka janna hoga kuch kuch
rah mein theek kar leta lagkar
apne se chakka rath ka
thonk peet leta deh ki machine aap
chha bana leta ghar khu
har barish ke pahle baad
rakhta hoon marammatiyon ke joD
quli ka matha
dhuniye ki dhun
jin jinke ye hunar
sabka aadar
sabki baqi hai guru dachchhina
sabse sikha ankh bachakar
charwahon ke chain aur hatwalon ki haDbaDi ke beech
sochta hoon chhu sakun jiwan ko jitni koron se
aur phir ye chah bhar nahin
yahi shart
zinda rahne ki
itte se waqt aur bitte se akash mein
marne ya marne ke liye kafi hai
ek chot ek dhaar
jine ke liye chahiye sare ke sare auzar!
स्रोत :
रचनाकार : प्रेम रंजन अनिमेष
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.