तुम कितनी सुंदर लगती हो, जब तुम हो जाती हो उदास!
ज्यों किसी गुलाबी दुनिया में, सूने खंडहर के आस-पास
मदभरी चाँदनी जगती हो!
मुँह पर ढक लेती हो आँचल,
ज्यों डूब रहे रवि पर बादल।
या दिन भर उड़ कर थकी किरन,
सो जाती हो पाँखें समेट, आँचल में अलस उदासी बन;
दो भूले-भटके सांध्य विहग
पुतली में कर लेते निवास।
तुम कितनी सुंदर लगती हो, जब तुम हो जाती हो उदास!
खारे आँसू से धुले गाल,
रूखे हल्के अधखुले बाल,
बालों में अजब सुनहरापन,
झरती ज्यों रेशम की किरने संझा की बदरी से छन-छन,
मिसरी के होंठों पर सूखी,
किन अरमानों की विकल प्यास!
तुम कितनी सुंदर लगती हो, जब तुम हो जाती हो उदास!
भँवरों की पाँते उतर-उतर
कानों में झुक कर गुन-गुन कर,
हैं पूछ रही क्या बात सखी?
उन्मन पलकों की कोरों में क्यों दबी-ढुकी बरसात सखी?
चंपई वक्ष को छू कर क्यों
उड़ जाती केसर की उसाँस!
तुम कितनी सुंदर लगती हो, जब तुम हो जाती हो उदास!
tum kitni sundar lagti ho, jab tum ho jati ho udas!
jyon kisi gulabi duniya mein, sune khanDhar ke aas pas
madabhri chandni jagti ho!
munh par Dhak leti ho anchal,
jyon Doob rahe rawi par badal
ya din bhar uD kar thaki kiran,
so jati ho pankhen samet, anchal mein alas udasi ban;
do bhule bhatke sandhya wihag
putli mein kar lete niwas
tum kitni sundar lagti ho, jab tum ho jati ho udas!
khare ansu se dhule gal,
rukhe halke adhakhule baal,
balon mein ajab sunahrapan,
jharti jyon resham ki kirne sanjha ki badri se chhan chhan,
misri ke honthon par sukhi,
kin armanon ki wikal pyas!
tum kitni sundar lagti ho, jab tum ho jati ho udas!
bhanwaron ki pante utar utar
kanon mein jhuk kar gun gun kar,
hain poochh rahi kya baat sakhi?
unman palkon ki koron mein kyon dabi Dhuki barsat sakhi?
champi waksh ko chhu kar kyon
uD jati kesar ki usans!

स्रोत :
पुस्तक : दूसरा सप्तक (पृष्ठ 168)
संपादक : अज्ञेय
रचनाकार : धर्मवीर भारती
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.